Baba Jaan Baba Jaan
- Atif Ali Khan (2021)
Baba Jaañ Baba Jaañ Mera Ghar Lut Gya
Na Rha Sayebaañ Mera Ghar Lut Gya
Kaise bayañ ho gham ka wo manzar
Jis waqt aayi naize pe chadar
Kheme jala kr hanste the aada
Ahl e haram jb phirte the dar dar
Aik din mai luta mera sara jahan mera ghr lut gya
Baba jaa'n baba jaa'n merq ghar lut gya
Hm soorat e mustafa ab kahañ hai
Mujhpe gira aik koh e garañ h
Shabbir ki jisse chalti thi saanse
Zalim ne seene me todi sinañ h
Wo ragadta rha khaak pr aidhiyañ mera ghar lut gya
Baba jaañ baba jaañ mera ghar lut Gaye
Wo jo wafaoñ ka kibriya tha
Yaseen shabbir wo murtaza tha
Aada kbhi chain se so na paye
Kheme k bahar wo jaagta tha
Zindagi me hamari sukooñ ab kahañ mera ghar lut gya
Baba jaañ baba jaañ mera ghar lut gya
Kaano se khenchi gyi baliyaañ hain
Ab uski qismat me tareekiyañ hain
Abbas kehna h pr kya kre wo
Kbhi hichkiyañ hain kbhi siskiyañ hain
Mar na jaye kahiñ shaah ki neem jaañ mera ghar lut gya
Baba jaañ baba jaañ mera ghar lut gya
Salaar e lashkar ek natawaañ h
Abid ka baqi abhi imtahaañ h
Ye soch kr ghash pe ghash kha rha h
Namoos e ahmed be sayebaañ hain
Mera sajjad h aur ye rassiyañ mera ghar lut gya
Baba jaañ baba jaañ mera ghar lut gya
Bs aye farazdaque ab kya bayañ ho
Kaise raqam Karb ki dastaañ ho
Atif ada kr na payega jb tk
Aankhoñ se uski khooñ na rawaañ ho
Hai yhi marsia baba jaañ baba jaañ mera ghar lut gya
Baba jaañ baba jaañ mera ghar lut gya