Matam e Hussain (A.S)
- Murtuza Jazib (2021)
Ya Hussain (2) Ya Hussain (2)
Aabaad rahe'n dil me azakhaney hamare,
Bas zindagi guzre gham e sarwar ke sahare.
Ham farsh e aza se na kabhi door hon maula, Har waqt zabano'n pa ho Shabbeer ka Nauha (2)
Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)
Mai BHI kahu'n Ya Hussain a.s Tum BHI Kaho Ya Hussain a.s Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)
Jinno Bashar Aouliya, Kehte hain sab Ambiya (2) Hai yahi Rab ki Riza Hussain a.s Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)
Momino ke wastay, Khas Rab ki hai ata,
Ek wila-e-Murtaza, Ek Hussain ki aza,
Matami Jo hai Hussain Ka, Usko Syeda ki hai dua,
Kyun na tera gham kare'n, Majlis-o-matam kare'n (2)
Hai yahi rooh ki ghiza Hussain a.s
Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)
Banta hayat hai, Zameen-e-najat hai,
Mangti Hussain se, Sari kayinat hai,
Hai Karam ka baher-e-bekara'n, Bharta hai Hussain jhooliya'n,
Bakhshisho Ka badsha, Hai saqa Ka Shahinsha (2)
Sab pe karta hai ata Hussain a.s
Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)
Sajda gahe auliya, Karbala hai Karbala,
Bosa gahe ambiya, Karbala hai Karbala,
Haq Ka rasta hai Karbala, Deen Ka pata hai karbala,
Karne Jan-o-dil fida, Aao chale'n karbala (2)
Ham ko Deta hai sada Hussain a.s
Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)
Fatima Ka ladila, Hai bina-e-la illah,
Izato Ka silsila, Azmato ki inteha,
Ye riza-e-kirdigar hai, Deen e haq ka yeh qarar hai,
Bekaso'n ka Aasra, Hai gareeb-e-nainawa (2)
Sab ghamo ki hai dawa Hussain a.s
Mil ke kare'n Matam-e-Hussain (2)
Hai ye arze karbala, Maojuza Hussain Ka, Karbala se pochiye, Hosla Hussain Ka,
Bhai bete sab fida kiye, Deen ki baqa ke waastay.....
Naz e dasht e karbala + Sher e shah e lafata,
Wada sab wafa kiya + deen ko bacha liya, Zakhmon ko saja liya + khooon me naha liya,
Sar ko bhi kata diya + ghar ko bhi luta diya (2) Dee' n ki ban gaya baqa Hussain a.s
Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)
Sog me Hussain ke, Matami ghilaf me,
Karbala ke aaj bhi, Kaba hai tawaf me,
Ban ke inqelab ba khuda, Chagaya hai gham Hussain Ka,
Ishq ne Mita Diya, farq rang-o-nasl ka (2)
Har jagah hai gunjta Hussain a.s
Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)
Kar ke khoon se wuzu, Ki namaz-e-ishq aada,
Aap par Salam ho, Ya shaheed e Karbala,
Katta tha Jawad jab gala, Tha labo'n pe shukr-e-kibriya,
Lash par Hussain ki, Kehti thi binte Ali a.s (2) Hashr tak rahega ya Hussain a.s
Mil ke kare'n Matam-e-Hussain (2)
Mai bhi kahu'n Ya Hussain,
Tum bhi kaho Ya Hussain,
Mil ke kare'n Matam-e-Hussain a.s (2)
Ata e kibriya Hussain,
Dilon ka badshah Hussain,
Gareeb e nainawa Hussain,
Qateel e be khata Hussain,
Shaheed e karbala Hussain (2)