Teeron Ke Aasmaan Se Bhaiya Utaar Le
- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2022)
Aye bhayi mai toh doshe nabi ka makeen tha
Aye bhayi mai toh Fathima ka mahjabeen tha
Ab aisa waqt aagaya aye mere baawaafa
Teeron ke aasmaan se bhaiya utaar le
Ghode se girke shaaha yeh dete rahe sada
Teero ke aasmaan se bhaiya utaarle
Takleef mai hussain hai
Takleef mai hussain hai aye mere bawafa
Teero ke aasmaan se bhaiya utaarle
1. Zeen E Faras se girkar zameen tak na mil saki
Amma uthaye haathon ko faryaadi bangayi
Kehti hai aa Hussain meri godh me zara
Teero ke aasmaan se bhaiya utaarle
2.Teero ke aasmaan pe zakhmi hussain hai
Tashna dahan akhi hai kahan iskk chain hai
Uljha huwa badan hai mera waaye ghurbata
3.Akbar ki laash uthaayi tum aaye nahi akhi
Ab khatm hone waali hai sarwar ki zindagi
Zaanu pe sar ko rakhle alamdare karbala
4.Amma uthaaye haath yeh kehti hai nooore ain
Kehti hai aa aye laal mere hussain
Bete ko uske maa se milaade aye bawafa
5. Yeh lamhai aakhri hai hamari Hayat ka
Do boondh paani tum hee pilado furaat ka
Sukha hee kat na jaaye gulu e shahe huda
6. Abbas aao teero se mujhko utaarlo
Kabse bula raha hoo mai imdaad toh karo
Aaye bhayi apne bhaayi ka todo na aasra
7. Shabir ke gale pe churi chal gayi ke bas
Aashoor ke ajeeb qayamat hui ke bas
Ek bhayi apne bhayi se kehta hee reh gaya
Teeron ke aasmaan se bhaiya utaarle
9. Halqe shahe huda pe mubarak churi chali
Rehan kya sunaaye qayamat guzargayi
Kehta huwa chala gaya dilbande fathima