Jawan ki lash padi hai Hussain ke Agae

- Mir Kareem Abbas (Bangalore) (2022)


Jawan ki lash padi hai Hussain ke Agae
Bahuth hai saqt ghadi hai Hussain ke Agae

1 Jawan bete ke dil mai sina ku todh diya
Tadarp raha hai alam se Hussain ka beta
Jafa ye kaisi huwi hai Hussain ke Agae

2 usi ne maari hai kardiyal jawan ke barchahi
Usi ne maa ki tamanna ku kardiya zaqmi
Wo haas raha jo shaqi hai Hussain ke Agae

3. Jawan bete ka marna hai baap ka marna
Zayeef baap pe haaye ye waqt hai kaisa
Ajeeb ayi ghadi hai Hussain ke Agae

4. Jahan se uth gaya hamshakl Mustafa logon
Jo baat dil mai hai wo baat mujhku kehne du
Ke guya lashe nabi hai Hussain ke Agae

5. Ye roke kehti hai baba ne jaaye ran ku
Bahuth hi nazon se pala tha shah ne jisku
Aba wo tha mai khadi hai Hussain ke Agae

6. Kareem karbo bala ka sina pe sar huga
Ali ki ladli Danish rahe gi be pardha
Ye zulm huno abhi hai Hussain ke Agae