Matam Hoga Muhrram Hoga

- Mohammed Khan (2021)


Matam Hoga Muharram Hoga
.........................................
Ghar me aye muftiye bid'at tere matam hoga.
jaese hota tha usi tarha moharram hoga.

Haan Matam Hoga Haan Muharram
...............
ham azadaron tak aa hi nahi paayegi waba.
ye bhi ek mojiza daurane moharram hoga.
...................
Fatema dengi dua sheh ke azadarin ko.
sar pe saaya kiye abbas ka parcham hoga.
...................
karwaten laakh badalte rahen ye fatwa farosh.
ta abad sayyade mazloom tera gham hoga.
...................
ban ke mehmaan phir aayengi janabe zahra.
phir mere ghar me alamdar ka matam hoga.
.....................
tod denge wahin dam khud hi ye saare amraaz.
ya husain ibne ali kehke jo sar kham hoga.
.....................
koyi bhi daur ho halaat ho'n chahe jaise.
ghame sarwar na rukega na kabhi kam hoga.
......................
thar tharayegi zami bhi pare jibreel ke saath.
sher dariya ki tarayi me jo barham hoga.
.......,...............
saniye haidare karrar mohabbat me teri.
koyi buzar koyi qambar koyi meesam hoga.
...................
is ka zamin hai khuda, ye na rukega ''KHUSHTAR''
zikre shabbir yu,n hi har ghadi har dam hoga