Sakka e Sakina Abbas Abbas

- Meesum Abbas (2022)


ABBAS ABBAS x 8

Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2

Do mujhko sahara Abbas Abbas
Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2

Thehri hui nazre hai meri tere Alam par
Shaq mujhko nahi koi tere lutfo karam par
Tu Baab e hawaij hai nazar rakhta hai humpar
Mushkil se bachana Abbas Abbas
Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2

Bin haatho ke tum jholiya bhar dete ho maula
Ehsaan karo mujhpe mai banda hu tumhara
Muflis hu bohot karbobala aa nahi sakta
Kya tumse chupana Abbas Abbas
Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2

Sab ranjo alam maine zamane se chupaye
Aaya hu tere saamne haatho ko uthaaye
Muh mod gaye mujhse sabhi apne paraaye
Dil zakhmi hai mera Abbas Abbas
Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2

Duniya ki musibat ne mujhe gher liya hai
Aaqa tera khaadim ye pareshan hua hai
Tum mujhko bacha loge mujhe ye bhi pata hai
Bas der na karna Abbas Abbas
Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2

Abbas habib ibne mazahir se ye kehna
Zawwaro ki fehrist me ab naam ho mera
Saaman e safar bhi mera tayyar hai maula
Tum mujhko bulana Abbas Abbas
Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2

Zehra ki kasam hai meri uljhan ko mita do
Ek phool alam se mere daaman me gira do
Himmat mujhe mil jaaye ishaare se bata do
Tum saath ho maula Abbas Abbas
Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2

Tu bhai hai Shabbir ka haider ka hai beta
Duniya me nahi itna sakhi koi gharana
Teri hi sakhawat ka zamane me hai kharcha
Tu dar hai ataa ka Abbas Abbas
Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2

Sar pe nahi jin logo ke maa baap ka saya
Un sabke nigehbaan tumhi ho mere maula
Maadar ka hi aachal hai ye parcham ka farera
Karte raho saaya Abbas Abbas
Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2

Dete hai sakina ki kasam isliye maula
Hai meesum o azlan ka maula ye aqidah
Tum radd nahi kar sakte kabhi bhi ye waseela
Hai pura bharosa Abbas Abbas
Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2