Bali Sakina Ki Thi Ye Fughaan

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2021)


Baali Sakina a.s ki thi yeh Fugha
Aye Mere Baba, Aye Mere Baba
Kuch toh khabar do, Tum ho kaha'n
Aye Mere Baba, Aye Mere Baba.

1) Jab se gaye tum qaime se baba,
Ek pal ko bhi mai so na saki hoo
Shimr ka darr hai mujhko
humesha, rona bhi chaahu,
Ro na saki hoo
Kis ko bulau'n, Jaau'n kahan
Aye Mere Baba, Aye Mere Baba.

2) Shame Ghariba'n qaimo mai
aakar, aag lagadi jis dum laee'n
ne
Khauf tha har soo syedaniyo mai,
Darr se aye baba, sehme the
bache
Chaya huwa tha, har soo Dhua'an
Aye Mere Baba, Aye Mere Baba.

3) Jal gaye qaime, chin gayi
chadar, lut gaye jab ke asbaab
saare
Khaak pe jaa kar baithi thi
maa'ye, soye the bache maa ke
sahare
Ghurbat thi aur, thi kuch siskiya'n
Aye Mere Baba, Aye Mere Baba.

4) Maare tamache shimre laee'n ne,
jis se hai mere ruqsaar neele
Baad uske baba boondo ko
mere, kuch aise cheena tha uss
Shaqi ne
Kaano se dekho, khoo'n hai rawa
Aye Mere Baba, Aye Mere Baba.

5) Tum hee batao ke koyi bachi,
aalam mai ho gayi kya mere jaisi
Chaar baras ki umr ho jiski, aisi
yateema kab kisne dekhi
Yeh sin ho aur, tooti phasliya'n
Aye Mere Baba, Aye Mere Baba.

6) Qaid huwe jab Ahle haram toh,
ek rassi thi aur baara'h gale the
Ek simt meri gardan bandhi thi,
aur bibiyo'n ke shane bandhe the
Dekho rasan ke, hai yeh nishaa'n
Aye Mere Baba, Aye Mere Baba.

7) Aale mohammed darbariyo'n
mai, laaye gaye jab qaidi bana
kar
Phupiya'n khadi thi chehre chupa
kar, Abid khade the nazre jhuka
kar
Hum par tha toota kohe giraa'n
Aye Mere Baba, Aye Mere Baba.

8) Pyas ki shiddat se ab toh mere,
saare badan mai raaeshe
padhe hai
Saans bhi lena hai mera mushkil,
halq mai mere chaale padhe hai
Lagta hai ab hai'n honto'n pe
jaa'n
Aye Mere Baba, Aye Mere Baba.

9) Muh rakh ke apna baba ke muh
par, aye najm jab woh chup ho
gayi thi
Saari shikayath baba se kar ke,
gham ki satayi jab so gayi thi
Phir na pukari woh neem jaa'n
Aye Mere Baba, Aye Mere Baba.