Fizza Na Ye Batana

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2021)


Haaye zehra s.a (2)
Haaye fizza (3)(2)

Ek roz ro ke fizza se zehra s.a ne yeh kaha
Pehlu shikasta ho gaya, Tum ko hai bus pata
Yeh raaz raaz rakhna ke, tooti hai pasliya
Fizza meri musibaten, karna na tum bayan
Fizza....
Fizza na yeh batana...

Pehlu huwa shikasta, Fizza na yeh batana
Haider a.s se meri ghurbat, Lillahh tum chupana
Fizza na yeh batana...

1)Pehlu huwa shikasta, tum ko bhi na batati
Zehra s.a tumhe madad ko, hazrgiz na phir bulaati (2)
Mushkil agar na hota, darr ko mera uthana
Fizza na yeh batana...

2)Jab se huwa hai fizza, pehlu mera shikasta
Pehlu se haath mera, Uthta nahi hai fizza (2)
Bacho ko chahti hoo, Apne gale lagana
Fizza na yeh batana...

3)Deewaro darr mai piss kar, mohsin a.s bhi margaya hai
Tooti hai pasliya sab, darwaza yu gira hai (2)
Yeh raaz raaz rakhna, bacho se bhi chupana
Fizza na yeh batana...

4)Pehlu ka dard mujhko, har aan maarta tha
Pehlu ke tootne se, mushkil tha saans lena (2)
Tadpi hoo dard se mai, kitna nahi batana
Fizza na yeh batana...

5)Be parda shamiyo mai, jaayegi meri beti
Tum aaj se aye fizza, Goya ke maa ho iski (2)
Zainab s.a ke saath tum ko,
Bazaar bhi hai jaana
Fizza na yeh batana...

6)Tum jaanti ho fizza, lagti hai pyas usko
Mera hussain a.s shab mai, awaaz de jo mujhko (2)
Pani mere pisar ko, fizza tum hi pilana
Fizza na yeh batana...

7)Badle Ali a.s ke shaami, beti se meri lenge
Jis waqt laadli ko, pathar meri lagenge (2)
Zainab s.a ke badle pathar, fizza tumhe hai khana
Fizza na yeh batana...

8)Danish Rehan tum se, razi rahenge Haider a.s
Kousar ka jaam denge, Tum ko ba-roze mehshar (2)
Zehra s.a ki tum musibat, har gaam par sunana
Fizza na yeh batana...