Sada Rahega Hussain
- Farhan (ALI WARIS) (2022)
Hussain...(4)
Fanaa ho jaegi duniya
lekin khuda ka hai waada
jab tak ye azaa rahegi
Zehra ki dua rahegi
Na tum rahoge na hum rahenge..(2)
sun le ye saara zamana
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
Hussain hussain maula hussain hussain.. (2)
Zindabad Zindabad
Sheh ki azaa zindabad
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
1. Shabbir ka ghum rahega sada
naslo ko wirse mein dedi azaa
kal hum rahe na rahe kya pata
Zikre azaa, aaho buka
yeh soch kar karna sada
Na tum rahoge na hum rahenge..(2)
sun le ye saara zamana
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
Hum hai dua e sayyeda
hum hai fida e hussain ..(2)
Zindabad Zindabad
Sheh ki azaa zindabad
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
Hussain hussain maula hussain hussain.. (2)
2. Nikle gharo se sabhi nauhagar
paidal julooso mein karne safar
na fikr e mausam na dushman ka darr..(2)
Oonche alam, badhte qadam
roke hume, hai kisme dum
Na tum rahoge na hum rahenge..(2)
sun le ye saara zamana
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
--------------------------------------
Seene me dil, dil mein hai dhadkan
dhadkan mein hussain
aankho'n mein ashko ka hai sawan
sawan mein hussain
manga hai Allah se jeevan
jeevan mein hussain
karbobala hai mera maskan
maskan mein hussain
Haan..
Tum bhi karo hum bhi kare - Matam e hussain
Tum bhi karo hum bhi kare - Majlis e hussain
Haan..
Tum bhi bano hum bhi bane - Zaer e hussain
Tum bhi chalo hum bhi chale - Maqtal e hussain
Tum bhi uthao alam - hum bhi uthaye alam
Tum bhi badhao qadam - hum bhi badhaye qadam
Tum bhi yeh khao qasam - hum bhi ye khaye qasam
Tum bhi manaoge ghum - hum bhi manaenge ghum
Na tum rahoge na hum rahenge..(2)
sun le ye saara zamana
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
3. Rasm e wafa yu nibhate hai hum
bachho ko saqqa banate hai hum
tehzeeb e majlis sikhate hai hum..(2)
Nauha padho, matam karo
hum ne kiya, tum bhi karo
Na tum rahoge na hum rahenge..(2)
sun le ye saara zamana
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
4. Zikr e azaa ko aur badhao
naslo ko yu parwaan chadhao
matami aur namazi banao
jo kiya tumne, inhe bhi sikhao
guzre jaha bhi juloos azaa ke
raho mein unke sabeelein lagao
Haan..
Ye hai sabeelein ye pyaso ka matam
Ya hussain ya hussain
Raaho mein hai ye aseero ka matam
Ya hussain ya hussain
Ye khoo'n ka pursa ye zakhmo ka matam
Ya hussain ya hussain
Sholo pe Abid ke chhalo ka matam
Ya hussain ya hussain
Zikr e sakina tamacho ka matam
Ya hussain ya hussain
Hota rahega shaheedo ka matam
Ya hussain ya hussain
Na tum rahoge na hum rahenge..(2)
sun le ye saara zamana
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
Hussain hussain maula hussain hussain.. (2)
5. Har saans pe qarz hai sheh ka ghum
jitna bhi matam karein wo hai kum
farsh e azaa par nikal jaye dum..(2)
Jitni bachi, hai zindagi
karte rahe, ye naukri
Na tum rahoge na hum rahenge..(2)
sun le ye saara zamana
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
Hussain hussain maula hussain hussain.. (2)
--------------------------------------
Maut ke sailaab mein har khusk o tar beh jaega
Haan magar naam e hussain ibn e ali reh jaega
Na tum rahoge na hum rahenge..(2)
sun le ye saara zamana
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
Hussain hussain maula hussain hussain.. (2)
6. Bibi ki mehnat ye rang layi hai
matam ka har koi shehdayi hai
ehle azaa ne qasam khayi hai..(2)
Ye dil hai kya, ye jaa'n hai kya
shabbir par, sab kuch fida
Na tum rahoge na hum rahenge..(2)
sun le ye saara zamana
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
--------------------------------------
Hum na kabhi bulenge ye ghum
Maula ki qasam
Nauha padhenge yuhi har dum
Maula ki qasam
Rukne nahi denge ye matam
Maula ki qasam
Jhukne nahi denge ye parcham
Maula ki qasam
--------------------------------------
Ehle azaa aao matam kare hum
Ya hussain ya hussain
Mehve buka aao matam kare hum
Ya hussain ya hussain
Saadat ka aao matam kare hum
Ya hussain ya hussain
Ghum hai bada aao matam kare hum
Ya hussain ya hussain
Goonj e sadaa aao matam kare hum
Ya hussain ya hussain
Bus har jagah aao matam kare hum
Ya hussain ya hussain
Na tum rahoge na hum rahenge..(2)
sun le ye saara zamana
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
Hussain hussain maula hussain hussain.. (2)
6. Yeh tera matam ye nauhe rahenge
Farhan o Mazhar ye kehte rahenge
naslo ko paigham dete rahenge
yu hi charagh e azaa bhi jalenge
na yeh qadam ruk sake na rukenge
majlis ki janib ye badhte rahenge
Na tum rahoge na hum rahenge..(2)
sun le ye saara zamana
Azaa rahegi azaa rahegi
sada rahega hussain hussain
Hussain hussain maula hussain hussain.. (2)
Hussain.. Hussain ..(2)