Baba Teri Sakeena Ka Ye Imtehan Hai
- Sajjad Hallauri (2021)
Jab aaya tasht me Shabbeer ka kata hua sar. yazeed kahta tha Darbaar me ye hans-hans kar. sakina pyar tujhe karte the agar sarwer. bula lo khud se agar jaye ye kata hua sar. utha ke nanhnhe se hathon Ko Bain karne lagi. Sakina baba se ro ro ke bas ye kahne lagi.
Baba teri sakina ka ye imtehan haix 2
zalim ye Kah Raha hai ki Mai dunga sar zarur. Lekin ye shart hai ki rahe tasht se too door. lillah aake Tod do zalim ka har ghuroor. Baba teri sakina ka ye imtehan haix 2
Aajao meri goad mex2 honto'n pa Jaan hai.
Darbar me hai meri Mohabbat ka imteha'n. Hasrat se dekhti hain suway tasht bibiya'n. ab fasla na bagi rahe mere darmiya'n Aajao meri goad mex2
Honto'n pa Jaan hai. Baba teri sakina ka ye imtehan haix2
zalim ye sochta hai ki ye ho na payega. jo sar hai kat Chuka wo Bhala kaise jayega. Lekin use batado ki sar khud se aayega. Baba teri sakina ka ye imtehan haix 2
Aajao meri goad mex2 Honto'n pa Jaan hai.
Baba mujhe batani hai roodade Karbala. jab tum nahi rahe to mere sath kya hua. zulmo sitam ka jaari Raha aik silsila.
Aajao meri goad mex2 Honto'n pa Jaan hai.
Baba teri sakina ka ye imtehan haix 2
Baba Tumhare Baad sataya Gaya mujhe. maray tamanche mujhko na Pani diya mujhe. ab tak sukion-o-Chain na hargiz Mila mujhe. Aajao meri goad mex? Baba teri Sakina Ka Ye Imtehan Haix 2
Aisa na ho ki toote ye rishta Hayat ka. Mai usse pahle kahlu sabhi guzra wagaya.
Aajao meri goad mex2 Honto'n pa Jaan hai
Darbaar me na ruswa kahi'n ho ye ghamzada.
Hansta hai mujhpa dekho sitamgaar behaya.
Hai dardo gham me dooba hua mera marsiya. Baba teri sakina ka ye imtehan haix 2
kab se Mai de Rahi hu ay baba tumhe sada. Aajao meri goad me x2 Baba teri sakina ka ye imtehan haix 2
Har ek Nafees aankh se aansoo Nikal pada.
Har ek zaba'n pa Haye sakina ki thi sada. Sajjad ne padha jo ye purdard marsiya. Aajao meri goad mex 2 Baba teri sakina ka ye imtehan haix 2