Jawan ali akbar
- Ali Shanawar and Ali Jee (2022)
Ali ali ali ali akbaram..(2)
rahate jaan..
wirde zabaan..
sa'ate azaan..
jaan ali akbaram
jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2)
aye gule laila ali jaan ali akbaram
jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2)
naujawan ali akbar .. naujawan ali ..(2)
1. Aye dilo jaan e pidar, shakl e payambar akbar
aye qaraar e dile zainab, gule madar akbar
misle abbas e jari, shere dilawar akbar
yusuf e fatima zehra, dil e haider akbar
husne zaman akbar, naaz e chaman akbar
aye husne zaman akbar, aye naaz e chaman akbar
aye gule laila ali jaan ali akbaram
jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2)
naujawan ali akbar .. naujawan ali ..(2)
2. Maula shabbir ne manga hai duao'n mein tumhe
ghazi abbas ne rakha hai panaho mein tumhe
milke do maao ne paala hai ridao'n mein tumhe
rabbe akbar ne rakha noori hijabo mein tumhe
naaz e dile sarwar, shabih e payghambar
aye naaz e dile sarwar, aye shabih e payghambar
aye gule laila ali jaan ali akbaram
jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2)
rahate jaan..
wirde zabaan..
sa'ate azaan..
jaan ali akbaram
jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2)
2. Boli laila ke gale mujhko lagate jao
boli zainab mujhe surat to dikhate jao
bole shabbir meri aas bandhate jao
mujhko nana ki ziyarat to karate jao
haye lahu mein tar, hum soorat e paighambar
haye lahu mein tar, hum soorat e paighambar
aye gule laila ali jaan ali akbaram
jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2)
naujawan ali akbar .. naujawan ali ..(2)
3. Kaise maqtal tumhe jane ki ijazat dedu
kaise khaime se nikalne ki ijazat dedu
kaise is pyaas mein ladne ki ijazat dedu
maa hu kaise tumhe marne ki ijazat dedu
jaan e dile madar, ye maa ho fida tumpar
aye jaan e dile madar, ye maa ho fida tumpar
aye gule laila ali jaan ali akbaram
jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2)
rahate jaan..
wirde zabaan..
sa'ate azaan..
jaan ali akbaram
jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2)
4. Haaye,
Khake seene pe sina zeen se akbar jo gira
hogaya khaimo mein kohraam bapa wawaila
ye sada dasht mein deta tha ghareeb e zahra
haye akbar mera, akbar mera, akbar na raha
noor e nazar akbar, aye naaz e pidar akbar
aye noor e nazar akbar, aye naaz e pidar akbar
aye gule laila ali jaan ali akbaram
jawan ali akbar.. naujawan ali akbar..(2)
naujawan ali akbar .. naujawan ali ..(2)
rahate jaan..
wirde zabaan..
sa'ate azaan..
jaan ali akbaram..(3)