Sakina bibi ka hai janaza
- Syed Raza Abbas Zaidi (2022)
Wo shaam ka zindaan, wo ghurbat wo andhera
kurte ka kafan aur, sakina ka janaza
sajjad se jab laasha, bahan ka nahi uttha
laashe pe rabab aake, ye karne lagi nauha
aye bibiyo tum meri, madad karne ko aao
haye mazloom sakina ke, janaze ko uthao
sakina bibi, haye
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
Ye rone wali ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
1. Hai haath ab bhi rasan mein iske
hum hi hai ab is watan mein iske
na jaane kab se ye tashna lab hai
nami nahi hai badan mein iske
yeh meri pyaasi, haye
yeh meri pyaasi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
2. Yateem, bekas, ghareeb, dukhiya
thi kitni mazloom o be sahara
chacha ke sar ke qareeb lakar
pakad ke baalo se jisko maara
yeh us bhatiji, haye
yeh us bhatiji ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
3. Wo jiski sukhi hui rago par
chala tha karbobala mein khanjar
bhara tha teero se uska seena
hai jisko maara rula rula kar
yeh uski beti, haye
yeh uski beti ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
4. Jala hai kurta, hai kaan zakhmi
gale mein paywast hai rasan bhi
kahi pe khaya tha taziyana
kahi ye naaqe se gir gayi thi
ye ghum ki maari, haye
ye ghum ki maari ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
5. Mila jo paani to isne lakar
giraya abid ki bediyo par
kahi se chadar mili to pehle
hume udhayi hai isne aakar
ye sab ki pyaari, haye
ye sab ki pyaari ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
6. Hai iske baalo mein bhi safedi
kamar bhi kham ho chuki hai iski
ise bhi darbaar jab bulaya
pakad ke deewar ye chali thi
batool jaisi, haye
batool jaisi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
7. Mai iski halat batau kaise
ab aur ghurbat sunau kaise
tumhe khabar hai mai iski maa hu
madad karo mai uthau kaise
ye meri bacchi, haye
ye meri bacchi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
8. Jise rehayi ki aarzu thi
wo ab hamesha rahegi qaidi
madine wale bhi ro diye jab
raza o zeeshan maa pukari
ye shaam wali, haye
ye shaam wali ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza