Kahti Hai Khwahar Aa Bhi Ja

- Raees Abbas Rizvi (2008)


Ay Bhai Akbar Aa Bhi Ja,
Kahti Hai Khwahar Aa Bhi Ja.

Khwahar Ye Teri Pareshan Hai,
Tujh Bin Madina Bhi Veeran Hai,
Veeran Hai Ghar Aa Bhi Ja.

Ay Bhai Tu Jab Se Karbal Gaya,
Takti Hai Bahna Ye Rasta Tera,
Hai Bethi Dar Par Aa Bhi Ja.

Wada Jo Tune Tha Mujhse Kiya,
Ay Sughra Lena Tujhe Aaoonga,
Aaya Na Kyonkar Aa Bhi Ja.

Milne Ka Armaan Dil Me Liye,
Bethi Hoon Tera Tasawwur Kiye,
Shakl-e-payambar Aa Bhi Ja.

Ghamgeen Hai Furqat Me Teri Bahan,
Dil Hai Pareshan Pareshan Zahan,
Suggra Hai Muztar Aa Bhi Ja.

Shaadi Jo Kar Li Ho Tune Wahan,
Mujhko Tasalli Tu Dene Yahan,
Bhabhi Ko Lekar Aa Bhi Ja.

Bichhda Hai Tu Jab Se Gham Me Tere,
Ay Bhai Har Waqt Dil Par Mere,
Chalta Hai Khanjar Aa Bhi Ja.

Har Shakhs Tera Hi Ghamkhwar Hai,
Tere Hi Gham Me Giraftar Hai,
Teri Ye Khwahar Aa Bhi Ja.

Karb-o-bala Me Raees Naseeb,
Roza-e-shah Ke Ho Jana Qareeb,
Jab Bolen Sarwar Aa Bhi Ja.