Ali Akbar Ijazath Le Rahe Hain
- Mir Ibadath Ali (2022)
Zaeefi hasrato'n se dekhti hai.
Ali akbar ijazat le rahe hain.
Nazar sarwar ki bete par tiki hai.
Ali akbar ijazat le rahe hain.
1) Muhammad ki nishani ran me jaye?
Wahan par khoon me apne nahaye?
Ajab ahle haram par bekasi hai.
Ali akbar ijazat .......
2) Sina ki nok tadpayegi haye
Jawani ran me lut jayegi haye
Pidar ki aankh ashko'n se bhari hai.
Ali akbar ijazat .......
3) Jise dharas thi akbar hai salamat.
Na ayegi haram Par koi afat.
Wahi ab hath malti jaa rahi hai.
Ali akbar ijazat .......
4) Hua veeran ghar jaise nabi ka.
Chaman ujde na is tarha kisi ka.
Udasi hi udasi chaa gyi hai.
Ali akbar ijazat .......
5) Jise armaan se zainab ne pala.
Wahi ab samne dam tod dega.
Ghamo ka samna hai aur phuphi hai.
Ali akbar ijazat .......
6) Jawa'n farzand yun khaime se nikla
Ki jaise AUN nikla ho janaza.
Sada karbobala me goonjti hai.
Ali akbar ijazat .......