Bhai Ka Lasha
- Mir Hasan Mir (2022)
Are Dushman Ko Bhi Na Bhai ka Matam Khuda Dikhaye
Logo Batao Bhai Ko Bhai Kahan Se Laye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye
Lashay Pe Alamdar Ke Sheh Kehte Thy Haye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye
Kya Sani E Zahra ko Main Batlaon Ga Bhaiya
Main Lash Se Uth Kar To Nahi Jaaun Ga Bhaiya
Ab Shimr Yahi Aa Ke Churi Mujh Pe Chalay
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye
Phat Jaye Ga Gham Se Mera Dil Tham Lo Abbas
Ab Der Bohat Ho Gai Ghar Ko Chalo Abbas
Aesa Na Ho Maqtal Main Sakina Chali Aaye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye
Ab Hathon Main Larzan Hai Kaha Jaan Rahi Hai
Mazloom Ki Ghurbat Main kamar Toot Gai Hai
Ya Rab Kisi Dushman Pe Bhi Ye Waqt Na Aaye
Ho Gaye Marna Sitam Abbas Ka
Abbas Pani Lao Abbas Pani Lao - 2
Hathon Main Khali Kuze Bacche Liye Huwe Hain - 2
Girde Sakina Daikho Halka Kiye Huwe Hain - 2
Bachay Na Jane Kab Ka Pani Piye Huwe Hai - 2
Bin Aab mar Na Jayen Pani Inhein Pilao
Abbas Abbas Pani Lao Abbas Pani Lao
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye
Pehlo Main Sada Main Ne Bithaya Tumhain Bhai
Jis Bhai Ne Godi me Uthaya Tumhain Bhai
Wo Bhai Bhala Kaise Teri Laash Uthaye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye
Maa Behne Hain Ham Shakl E Payambar Ke Hawale
Main Mashk O Alam Karta Hon Akbar Ke Hawale
Himat Nahi Shabbir Main Jo Khaimo Main Jaye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye
Sadat Hai Ye Sham Ke Lashkar Ko Batao
Jate Howe Ye Shimr Se Kehte Huwe Jao
Wo Meri Sakina Ko Tamache Na Lagaye
Toot Gayi Aas Meri Toot Gayi Aas
Haa Dair Huwi Mere Chacha Jaan Sidharain
Akbar O Baba Hain Gaye Nehar Kinare
Are Amma Mera Qalb Jala Pyaas Ke Mare
Haaye Toot Te Jatain Hain Mere Dil Ke Sahare
Toot Gayi Aas Meri Toot Gayi Aas
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye
Akbar Ko Abhi Jane Do Ham Ne To Kaha Tha
Aulad To Mil Jati Hai Bhai Nahi Milta
Shabbir Kahan Se Tumhain Ab Dhoond Ke Laye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye
Sadat Ye Kehte Hain ke Ham Pyaase Rahain Gy
Tum Ne Na Piya Pani To Ham Bhi Na Piyain Gy
Allah Hamain Payasa Hi Dunya Se Uthaye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye
Murr Murr Ke Take Jate The Abbas Ka Lasha
Girte Khabhi Uthte Thy Takallum Sheh E Wala
Akbar Badi Mushkil Se Sambhale Huwe Aaye
Bhai Ko Khuda Bhai Ka Lasha Na Dikhaye