Ali Asghare Besheer (as)

- Baqari Brothers (2022)


Haye meray asghar (as) ×4

Bano ne kaha roke Ali Asghar e besheer
Sunti hun ke gardan pe laga qad se bada teer

1) Khun bah gaya maqtal men wo gham tum ne uthaya
che maah ke es sin mai bhi pani nahi'n paya
roye gi teri piyas ko ye madar e dilgeer

2) Sine se lagaya hai tujhe maut ne aa kar
ji bhar ke suna bhi na saki loriyan madar
din kaisa musibat mai dikha kar gai taqdeer

3) Aaja teri gardan ka zara zakhm to dekhun
Marham to mayasar nahi'n ansu hi laga lu
maloom hai lut jaye gi kuch deer mai jageer

4) Pani ke ewaz tum ko kiya jaye ga zakhmi
wapas nahi'n aao ge khabar maa ko nahi'n thi
ab khoon rulaye gi mujhe gham ki ye Tasveer

5) Ay khun kiye dil ai meri ankhon ki basiraat
maa bhool na paye gi teri phool se surat
wabsta thi tum se hi meri akhon ki Tasveer

6) Is dil pe jo guzri hai wo rudaad sunaye
maa fir se tumehe apne kaleje se lagaye
aye noore nazar tum hi banado koi tadbeer

7) Zakhmi tera nan naha sa gala deekka hai jab se
sar peet ti hai akhon se ansu nahi'n rukte
ro ro ke na mar jaye kahi'n karb se ham sheer

8) Hoti thi'n jise deekh ke yade'n teri taza
afsoos laino ne jala dala wo jhula
hasta raha ghurbat pe meri lashkar e be peer

9) Hai mir hilal aap ki dahleez ka naukar
lillah karam babe hawaej karo es par
ye sara jahan es ko kahe zakir e Shabbeer