Abbas Ke Bazu
- Irfan Hussain (Bangalore) (2020)
1.Khaime me jo Shaih asws laate hain Abbas asws kay Bazu
Kulsoom asws ko tadpate hai'n Abbas asws kay Bazu
2.Shabbir asws bhi maare gaye main kar na saka kuchh
Is baat pa khoo'n rote hain Abbas asws kay Bazu
3.Chhin jati hai phir Zainab o Kulsoom asws ki Chadar
Maqtal me jo kat jate hain Abbas asws kay Bazu
4.Hal min ki sada suntey hee Shabbir asws ki ran se
Darya pa tadap uthte hain Abbas asws kay Bazu
5.Zalim ne Sakina asws se kaha maar ke durre
Kaise tujhe chhurwaate hain Abbas asws kay Bazu
6.Zainab asws ki Rida lut'ti hai bazar me jab bhi
Sajjad asws ko yaad Aatey hain Abbas asws kay Bazu
7.Lasha Ali Akbar asws ka utha to nahi sakte
Aapas hi me takraate hain Abbas asws ke Bazu
8.Likhta hai Aqeel Aale Nabi asws ke jo Masayeb
To bahre Ata uthte hai'n Abbas asws kay Bazu