Ali akbaram

- Safdar Abbas (2014)


Shabihey payambar Akbar
Shabihe payambar

Aye gul e gulzaar ali akbaram
Maahey taabaan ali akbaram

Paara e qur'aan ali akbaram
Maahey taabaan ali Akbaram

Aye gul.......

1) dilbar e shaah e hudaa geysuwo waaley
Do ghadi rukjaa zaraa Maa key dulaarey
Aankho me chaaney lagey ghum ke andherey
Ab na rahengey Merey ghar ke ujaaley

Maa Teri qurbaan ali akbaram
Maahey taabaan ali Akbaram

Aye gul.....

2) aye Merey laqtey jigar aisey na jaawo
Chaand Sa chehra phupi jaa ko dikhaawo
Naazo se jisney tujhey paala hai beta
Jaaney se pehley zaraa usko manaawo

Uspey ho ehsaan ali akbaram
Maahey taabaan ali akbaram

Aye gul .....

3) bhool na paawoongi my Teri jawaani
Yaad rakhoongi Teri tashnadahaani
Chaand si soorat Teri aur Tera lehjaa
Saath rakhoongi sadaa Teri nishaani

Merey dil o Jaan ali akbaram
Maahey taabaan ali akbaram

Aye gul......

4) aye Merey kadiyal jawaa shakl e payambar
Aa tujhey dekheygi Maa paas bithaakar
Zulfey sawaaroon Tera sadqa utaaroon
Aankho me apni basaawoongi ye manzar

Aye Merey mehmaan ali akbaram
Maahey taabaan ali akbaram

Aye gul.....

5) Teri judaayi ka ghum sehti hai sugraa
Kehta hai dil ghum zadaa rehti hai sugraa
Tera tha waada usey jaayega leney
Lagta hai rokar sadaa deti hai sugraa

My hoo'n pareyshaan ali akbaram
Maahey taabaan ali akbaram

Aye gul.....

6) sadmey uthaawoongi my mujhko Khabar hai
Jee nahi paawoongi my mujhko Khabar hai
Terey jigar mey sinaa dekheygi maadar
Zaqm ye khaawoongi my mujhko Khabar hai

Roti hoon Har aan ali akbaram
Maahey taabaan ali akbaram

Aye gul....

7) boli sakina ke Phir milna sakoongi
Maarna daaley mujhey Teri judaayi
Nanhey se haatho ko Phir jodkey boli
Jaatey ho kyu chorkar aye Merey bhai

Hoti hoon Bey Jaan ali akbaram
Maahey taabaan ali akbaram

Aye gul......

8) bayn ye karti thi Maa safdar o yaawar
Jaawo na aisey mujhey chorkey Akbar
Zainab e dilgeer Bhi gash mey padii hai
Kehtey they dil thaamkey sibtey payambar

Rabb hai nigehbaan ali akbaram
Maahey taabaan ali akbaram

Aye gul......