Mere Bhai Mujhe Ma'af Karna
- Raees Abbas Rizvi (2009)
Bain Karti Thi Zainab Ye Rokar,
Mere Bahi Mujhe Ma'af Karna.
Ro Nahi Payi Tujhko Main Jee Bhar,
Mere Bhai Mujhe Ma'af Karna.
Har Qadam Par Thi Zulm-o-jafayen,
Zalimon Ne Hain Chheeni Ridayen,
Kuchh Nahi Kar Saki Main Baradar,
Mere Bhai Mujhe Ma'af Karna.
Mujhko Zalim Tere Baad Bhayya,
Leke Dar Dar Phirey Shaam-o-kufa,
Aur Sar Par Na Thi Mere Chadar,
Mere Bhai Mujhe Ma'af Karna.
Is Tarah Zalimon Ne Sataya,
Qaid Kar Ke Tamasha Banaya,
Naam Leta Tha Mera Sitamgar,
Mere Bhai Mujhe Ma'af Karna.
Teri Beti Jo Thi Wo Sakina,
Maut Ne Usko Mujhse Hai Chheena,
Usko La Na Saki Main Bachakar,
Mere Bhai Mujhe Ma'af Karna.
Leti Har Dam Bahan Siskiyan Thi,
Bandhi Zalim Ne Jab Resman Thi,
Hain Rasan Ke Nishan Bazu'on Par,
Mere Bhai Mujhe Ma'af Karna.
Main Bahut Hoon Ghamon Ki Satayi,
Jeena Dushwar Hai Mera Bhai,
Mar Na Jaoon Tere Gham Me Ghutkar,
Mere Bhai Mujhe Ma'af Karna.
Zulm Zalim Ne Bekhauf Dhaye,
Natawan Ko Bhi Durrey Lagaye,
Thi Bahut Hi Main Majboor-o-muztar,
Mere Bhai Mujhe Ma'af Karna.
Dil Bhi Rota Hai Aankhen Hain Purnam,
Gham Ye Hi Mujhko Khata Hai Har Dam,
De Na Payi Kafan Main Baradar,
Mere Bhai Mujhe Ma'af Karna.
Dil Bhi Hai Paash-paash Jigar Bhi,
Ay 'Raees' Hai Tooti Kamar Bhi,
Jab Bhi Kahti Hai Zainab Tadapkar,
Mere Bhai Mujhe Ma'af Karna.