Allah Ka Lashkar Ya Zainab S.A

- Ali Rehbari (2022)


Ya Zainab sa 6

Kirdar e imamat
Guftar e risalat
Allah ka laskhar Ya Zainab sa

Hai Saniye Zehra
Hai zinat e haider
Or Sabr Ka Paikr Ya Zainab

1.Socha tha mitai
is deen ko jisne
Wo khak hua Hai Zainab ke karam Se
Islam ka Dushman
Ruswa hua Hai
Ay Saniye Zehra bas Aapke Dam Se
Hai Maa ki Hararat
Islam ki kuwwat
Haider ki sujaat ya zainab

2.Tune Hai Bachaya
mushkil me imamat
Ye deen Tumhare Hai Dam se Salamat
Abbas ki tarha
Sarhad pe khadi Hai
Har daur me karti hai Dee'n ki hifazat
Hai Sher e dilawar
Shabbir ki yawar
Tu Naaz e payambar ya zainab

3.Is Shan se boli
Baatil ko daraya
Darbar e sitam ko khutbo'n Se hilaya
Sar ahle jafa ka
Bibi ne jukaya
Zainab ne gurur e Zalim ko mitaya
Lehja Hai Ali ka
Zehra ki zuba hai
Aawaz e Mohammad ya zainab

4.islam ki zinat
Iman hai Parda
Ye deen se wafa ki Pehchan hai Parda
Zainab ki kaneezo
Ki jaan hai Parda
Zainab ke muhibbo ki Shan hai Parda
Zahir me ho parda
Baatin me ho parda
Phir lab sada ho ya zainab

5.Zalim se Ladenge
Rehbar ka hai Nara
Dushman Hai Hamara Agyaar Tumhara
Hum karke falasti
Azad Rahenge
Kashmir o yaman ko chodenge na Tanha
Mazloom ke hami
Ye tere fidai
Maidan me hai Hazir Ya Zainab

6.Ho Tumpe Salam Ay
Haider ke pairo'n
Tum Jeete Raho Ay Zainab ke Shero'n
Ho Tumko Mubarak
Rutba e Shahadat
Ye jazb e Zahoor e
Aakhir ho salamat
Tum Karbobalai
Tum hi ho Ghadeeri
Nara Hai Tumhara Ya Zainab

7._aashor ka dhalna
Aur shame gariban.
Sehmay hove bachy he dashte bayaban.
Sub lut gaya ban ma
koie nahi yawar.
Pehre Pe khari he Abbas ki Khawahar
Bachon ki umeedain mawon ka Sahara salare haram he ya zainab .sa.

8._darpesh safar he
ab sham ha Jana.
Imdad ko mari
tum raah me aana.
Main kese chalungi agyar ky hamrah .
Abbas bahen ka
parda to banana .
Pehla ye safar ha pardy ky humafiz
be maqna o chadr ya zainab.sa.

9._balon say chupaye
chray ko chali ha.
Mal kaye haya py
ye kesi ghari ha.
Chayi he qayamt
Sajjad ky dil pr .
Darbare sharabi
Aur binte Ali.ha.
Agyar ka majma Aur sanie zahra ..sa.
purdard ha manzar ya zainab. Sa

10.Hum Lehed Banae'n
Marqad ko sajae'n
Abbas ka Parcham Aangan me Lagae'n
Ho Puri Tammana
Tamir e baqayya
Maqbul Hamari Ho jae Dua e
Zehra ke haram me
"Shabbir" Qasida
Hum padke Sunae ya zainab