Luta Hai Karb-o-bala Me Mera Bhara Kunba
- Raees Abbas Rizvi (2010)
Sad Ye Zainab-e-muztar Ne Di Mere Nana,
Luta Hai Karb-o-bala Me Mera Bhara Kunba.
Main Karbala Me Bhare Ghar Ko Kho Ke Aayi Hoon,
Main Aun-o-qasim-o-akbar Ko Roke Aayi Hoon,
Diya Hai Nana Ye Ummat Ne Mujhko Gham Kaisa.
Na Sath Mere Sakina Na Nanha Asghar Hai,
Na Koi Monis-o-yawar Hai Na Baradar Hai,
Meri Rida Ka Jo Zamin Tha Wo Bhi Qatl Hua.
Bala Ke Ban Me Hua Qatl Karawan Mera,
Mere Nana Meri Taqdeer Me Yehi Tha Likha,
Rulayega Mujhe Ta'zindagi Ye Gham Mera.
Guzar Gayi Hoon Main Har Imtehan-e-zulmat Se,
Mila Hai Gham Mujhe Ye Bhi Meri Hi Qismat Se,
Kafan Bhi Bhai Ko Na Mere Mayassar Hai Hua.
Mera Mahman Hur Bhi Ho Gaya Shaheed Wahan,
Ye Kaisa Zulm-o-sitam Ham Pe Karbala Me Hua,
Sar-e-husain Bhi Dekha Hai Maine Nauk-e-sina.
Main Kaise Nana Bataoon Wo Shaam Ka Manzar,
Ridayen Chheen Ke Zalim Phiratey The Dar Dar,
K Naam Leke Hamen Zalimon Ne Ruswa Kiya.
Tha Mera Qafila Saalar Abid-e-beemar,
Sataya Usko Bhi Jata Tha Har Qadam Har Baar,
K Tazyaney Sitamgar Use Rahe The Laga.
'Raees' Kahti Thi Ro-roke Zainab-e-muztar,
Ujad Gaya Hai Mera Karbala Me Sara Ghar,
Batao Nana Mili Hai Mujhe Ye Kaisi Saza.