Aye nehre alqama
- Nadeem Sarwar (2022)
Haay
Aye Nehar-e-Alqama - 2
Aaj Bhi Iss Bekasi Par Ro Rahi Hai Karbala - 2
Alqama Behti Rahi aur Qafila Pyasa Raha
Aye Nehar-e-Alqama - 6
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama
Aye Nehar-e-Alqama Tera Mehman Tha Hussain
Kyun Tere Pas Reh Ke Bhi, Oss Ko Mila Na Chain - 2
Tujh Se Hai Yeh Gila, Aye Nehar-e-Alqama - 2
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama
Aye Nehar-e-Alqama - 3
Khaimay They Ahl-e-Bait Ke Kitne Tere Qareeb
Pyasay Hi Tere Samne, Woh Mar Gaye Ghareeb - 2
Roti Thi Karbala, Aye Nehar-e-Alqama - 2
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama
Aye Nehar-e-Alqama - 3
Mashkeza Jis Ke Hath Mein Tha Doosh Par Alam
Sahil Pe Tere Aaye They, Abbas Ke Qadam - 2
Rutba Tujhe Mila, Aye Nehar-e-Alqama - 2
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama
Aye Nehar-e-Alqama - 3
Sokhi Pari Thi Mashk-e-Sakina Tarai Mein
Do Bond Pani Kya Na Tha, Sari Khudai Mein - 2
Haye Tu Ne Yeh Kya Kiya, Aye Nehar-e-Alqama - 2
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama
Aye Nehar-e-Alqama - 3
Ik Bekasi Si Ahl-e-Haram Par Tamam Thi
Kitni Udas Sham-e-Ghareebaan Ki Sham Thi
Aye Wa Musibata Aye Nehar-e-Alqama
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama
Aye Nehar-e-Alqama - 3
Nohon Mein Hain Jo Tazkira-e-Alqama HILAL
Charon Taraf Hai Aaj Bhi Ik Matam-e-Malal
Jari Hai Yeh Azza Aye Nehar-e-Alqama
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama
Aye Nehar-e-Alqama - 3