Aye Waqt Ke Shabbir Kare Nazre Inayat
- Azadar Hussain Sayyed (2021)
Aayi hai bahot dard ke sailaab me shiddat
Ay waqt ke shabbir kare nazre Inayat
Har qalb pareshan ko de dijiye raahat
Aay waqt ke shabbir kare nazre Inayat
1• din raat jo aalamo masaib me pade hai
Be jurmo khata qaid me din kaat rahe hai
De huqm ke hojaye wo azad e harasat
Aay waqt ke shabbir kare nazre Inayat
2•momin jo koi barso se bimar mai moula
Kyu ap ka hoke bhi vo nadaar hai moula
Sajjad ke sadke me ata kijiye sehat
Aay waqt ke shabbir kare nazre Inayat
3•faaqo me guzar jaate hai jin logo ke din raat
Ab rizq musalsal ki unhe dijiye sovghat
Mashur do alam me tumari hai sakhawat
Aay waqt ke shabbir kare nazre Inayat
4•din raat tadapte hai jo aaqa paae aulad
Asghar ke tasadduk me Kare godiya aabad
De dijiye Unke yaha jaldi se basharat
Aay waqt ke shabbir kare nazre Inayat
5•apno se bhichad kar jo pareshan hai moula
Milwa de unhe apno se fil four khudara
Sughra ke tasadduk me aata kijiye raahat
Aay waqt ke shabbir kare nazre Inayat
6•labnaan hai ya sham ya Bahrain yaman hai
Ab zatpe sitamgaro ke shiyo ka chaman hai
Har simt mohibbo Pe tumare hai musibat
Aay waqt ke shabbir kare nazre Inayat
7•asghar vo azadar ke labpar hai hamesha
Mehfuz Balaao se rahe ap ke shaida
Aaye na kabhi unpe koi ranjo musibat
Aay waqt ke shabbir kare nazre Inayat
Aayi hai bahot dard ke sailaab me shiddat
Ay waqt ke shabbir kare nazre Inayat