Hamara Hai Ya Hussain

- Azadar Hussain Sayyed (2022)

Tute huwe dilo ka sahara hussain hai
Mushkil me deene haq ne pukara hussain hai
Har dil aziz sabka dulara hussain hai
Itna jahan walo ko pyara hussain hai

har qaum keh rahi hai hamara hai ya hussain
hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain

1)Raahat nabi ke dil ki hai zehra ke dil ka chain
bhai hasan ka aur hai haider ke dil ka chain
duniya pukarti hai use shahe mashraqain
kar paenge ada na jaha wale uska dain
zehra ke ghar ka raaj dulara hai ya hussain

hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain
har qaum keh rahi hai hamara hai ya hussain
hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain

2)saare jaha me uska gharana hai moatebar
har ek ke liye hai khula uska paak dar
raahib ko bete dediye fitrus ko baalo par
jannat ka raahi bangaya jab hur pe ki nazar
muztar ka benawa ka sahara hai ya hussain

hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain
har qaum keh rahi hai hamara hai ya hussain
hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain

3)adam vo nooh ke bhi labo par hai uska naam
karte hai uske zikr ko ayyub bhi salaam
isa vo musa uska sada karte hai kalaam
rahta hai zikr labpe mohammad ke subho sham
haa ambiya ki aakho ka taara hai ya hussain

hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain
har qaum keh rahi hai hamara hai ya hussain
hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain

4)dono jaha me ussa koi moatebar nahi
usse bada jaha me kisi ka jigar nahi
kyu naabalad hai isse tujhe kyu khabar nahi
deene rasool kuch bhi nahi wo agar nahi
gham hai agar hazar to chara hai ya hussain

hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain
har qaum keh rahi hai hamara hai ya hussain
hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain

5)raahe khuda me apna bhara ghar luta diya
nabiyo ki saari mehnate tanha bacha gaya
jangal ko karbala e moalla bana diya
karbobala ki dast ko aisa saja diya
khulde bari ka goya nazara hai ya hussain

hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain
har qaum keh rahi hai hamara hai ya hussain
hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain

6)tukde chune hai jisne bhatije ki lash ke
dekha hai lasha bhai ka baazu kate huve
kadyal jawan mar gaya aakho ke saamne
hatho pe dam ko tod diya sheer qaur ne
sab kuch rahe khuda me gawara hai ya hussain

hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain
Har qaum keh rahi hai hamara hai ya hussain
hamara hai ya hussain hamara hai ya hussain

7)jaari rahe ataao ka ham par ye silsila
Moula qabool ho ye azadar ki dua
Asghar ke hai labpe shaboroz ilteja
Har saal dekh te rahe ham aake karbala
Kaafi fakat tuamara ishara hai ya hussain