Kyu Tere Naam Se Tari Naho Riqqat Zehra

- Azadar Hussain Sayyed (2021)


kyu tere naamse taari naho riqqat zehra
umrbhar sheti rahi ranjo musibat zehra

1.uski hurmat na rakhi usko jalaya aakar
jalta darwaza giraya hai tere pehlu par
pursa deti hai ajab tujko ye ummat zehra

kyu tere naamse....

2.dard pe dard tha din raat me tadpi lekin
umar sub ranjo masaeb me guzari lekin
lab pe layi na kabhi hurfe shikayat zehra

kyu tere naamse....

3.baal ujle hai jhuki pusth shikasta phelu
zerd rukhsar tera tuta huwa hai baazu
ye musalmaa ne diya ajre risaalat zehra

kyu tere naamse....

4.dil pe har gaam naya dard naya ek alam
umr atthara baras ki hai magar pust hai khum
kis qadar toone uthaye hai saoobat zehra

kyu tere naamse....

5.marsiya labpe hai kuch itne uthaye sadme
kaali raato me badal jaate ujale dinke
is qadar tujh pe masaeb ki thi shiddat zehra

kyu tere naamse....

6.pasliya tooti huwi dekh ke qaboo na raha
khud ali jaisa bahadur bhi tadap kar roya
aise zakhmo ki sahi toone aziyat zehra


kyu tere naamse....

7.kab uthata hai bashar koi bhi ghum maut ke baad
qatm ho jaata hai sab ranjo alam maut ke baad
tujh ko haasil na huwi marke bhi raahat zehra

kyu tere naamse....

8.zindagi me kabhi baba pe bhi rone na diya
baad az maut tuje chain se sone na diya
munhadim kardi shaqi ne teri turbat zehra

kyu tere naamse....

9.galiya shaahid hai madine ki musalsal tadpi
baad ahmad ke hamesha wo azadar rahi
sochke rota hai asgar teri gurbat zehra

kyu tere naamse taari naho riqqat zehra
umar bhar sheti rahi ranjo musibat zehra