Ana Sayyed E Abraar
- Adeel Raza (2022)
gardan pe teg jism pe so teer hain magar
ki hai ada namaaz bade itmenaan se
rakh li hai ak sajde se sajdo ki aabru
roshan khuda ka ghar hai mere imtehaan se
ana sayyade abraar x4
sadqe me mere khalq huwe chaand sitaare
sooraj bhi samjta hai bahot mere ishaare
waqif hai meri shaan se kur,aan ke paare x2
aate hain shahenshaah bhi khud dar pe hamaare
kehte hain muje khuld ka sardaar
ana sayyade abraar
ho jayenge ik simt jama karbala waale
bhar denge ye islam ke aangan me ujale
kar degi sabhi maaye fida god ke paale x2
raaho me mile hain muje ansaar niraale
sab mujpe hain mar mitne ko tayyar
ana sayyade abraar
ham aale mohammad hai sakhawat ke samndar
pal bhar me bana dete hain ham bigda mukaddar
ye baat bhi moujood hai tareekh ke andar x2
paththar ko gohar kar diya seene se laga kar
hur aaya jo us paar se is paar
ana sayyade abraar
paai hai shari,at ne mere dam se jawani
duniya me koi ho nahi sakta mera sani
me yaad dila sakta hu zamzam ki kahani x2
hu warise kousar meri thokar me hai pani
kuffaar n samje muje lachaar
ana sayyade abraar
aidi ali akbar ka ragdna hai gawara
tukde tane qasim ke uthana hai gawara
besheer ko reti pe sulana hai gawara x2
sajde me gala apna katana hai gawara
par baiyyate batil se hai inkaar
ana sayyade abraar
ha sabr mera dekh ke hairat me hain ayyoob
moosa ho ke isa ho ke yusuf ho ke yakoob
har ak paymbar hai azadaari se mansoob x2
kehta hai zamana jise allah ka mehboob
wo bhi hai mere gam me azadaar
tu wo hai jo har bigdi hui baat bana de
majlis ka sila de hame maatam ka sila de
gazi ka tuje wasta ye doori mita de x2
is nouhe ke sadqe me isi saal bana de
rizwano raza ko tera zawwar