Mere Bacche Tujhe Dete Hain
- Mir Hasan Mir (2007)
Farsh Majlis Ka Kahi Bichhta
Hai jab bhi Zainab
Mere Bachhe Tujhe Dete Hain,Salami Zainab
Haye Zainab (×6)
Mere Bachhe Tujhe Dete Hain, Salami Zainab (×2)
Taaziyakhano Mein Aankhon Ko Bhigone Wale
Kaise Bhoole Tujhe Shabbir Ko Rone Vaale
Kiye Buniyaade Aza, Tune Hi Rakhi Zainab
Mere Bachhe Tujhe Dete Hain, Salami Zainab (×2)
Teri Qurbaaniyan Bhulengi, Na Insaano Ko
Raunake De Gayi Duniya Ke Azakhaano Ko
Tere Ujde Huye Khaime Ki Udaasi Zainab
Mere Bachhe Tujhe Dete Hain,Salami Zainab (×2)
Kisko Kehte Hain Sukoon ,Tera Jigar Kya Jaane
Teri Nazro Mein Hai Ghaazi Ke Tadapte Shaane
Aur Pehloo Mein Kisi Jhule Ki Garmi Zainab
Mere Bachhe Tujhe Dete Hain , Salami Zainab (×2)
Tune Mitti Hui Shabbar Ki Nishaani Dekhi
Khoon Ugalti Huyi Akbar Ki, Jawani Dekhi
Tune Dekhi Hai Sakina Ki Yateemi Zainab
Mere Bachhe Tujhe Dete Hain Salami Zainab (×2)
Uff Vo Tadapta Hua Sehra Vo, Hussain Ibne Ali
Haaye Vo Khushk Galaa Kaate, Vo Zaalim Ki Churi
Haaye Maqtal Mein Vaha, Tu Bhi Khadi Thi Zainab
Mere Bachhe Tujhe Dete Hain, Salami Zainab (×2)
Rassiyon Mein Jo Jakadte Hain, Tere Shaano Ko
Kaash Itna Koi Batlaade Musalmaano Ko
Tere Ujde Huye Khaime ,Ki Udaasi Zainab
Mere Bachhe Tujhe Dete Hain, Salami Zainab (×2)
Umr Bhar Sar Kabhi Ghairat Se, Uthaaya Na Gaya
Dard Minhaal Se Bhi Dil Ka Sunaya Na Gaya
Pooche Aabid Se Koi , Teri Aseeri Zainab
Mere Bachhe Tujhe Dete Hain, Salami Zainab (×2)
Iss Qadar Tashna Jigar Tashna Dahen Koi Nahi
Lakhon Behne Hai Magar Aisie Behn Koi Nhi
Bhai Ki Yaadon Mein Beton Ko Na Roi Zainab
Mere Bachhe Tujhe Dete Hain, Salami Zainab (×2)
Aaye Hain Nayyaro Aamir Bhi ,Salami Ke Liye
Hum To Paida Hi Huye Teri, Ghulaami Ke Liye
Maaon Behno Ka Sharaf , Teri Kaneezi Zainab
Mere Bachhe Tujhe Dete Hain, Salami Zainab (×2)
Haaye Zainab (×6)