Abhi Hum Zinda Hain
- Baqari Brothers (2020)
hussain hussain hussain × 2
abhi hum zinda hain × 4
1. lakh duniya may lage kauf e waba ka pehra
jaan jaati hai toh jaaye nahi koi parwa
hum azadari e sarwar ke liye hain zinda
kuch bhi ho matam e shabbir (jjh) toh hoga hoga
yeh gham e karbobala..... kismaton se paaya
zindagi ka apni hai yeh gham sarmaya silsila chalta rahega yeh sada (×2)........
6th
abhi hum zinda hain......
2. fatema(jjh) aapke bete ka moharram hoga
hum rahe ya na rahe shah ka matam hoga
apni naslon may yeh gham aise rakhenge jaari
ruk nahi sakti kisi daur may matamdari
laak sab karte rahein zulm o jafa.......(× 2)
abhi hum zinda hain.......
3. gham e karbala.....
meri ruh o jaan.....
azaan e aza rahegi rawan
muqalif hai gar toh ho yeh jahan
hai hum de chuke azal se zaban
hum nibhayenge yeh wada apna (×2)
gurbath e sheh pe karenge girya...... (×2)
matami saari banadenge fiza (×2)
abhi hum zinda hain......
4. yeh hai jaan denay ko taiyar gham e sheh k liye
waqf hai khoon e azadar gham e sheh ke liye
munkir e shah ki yun dilshikani bhi hogi
naam e shabbir(jjh) pe zanjeer zani bhi hogi
zinda dafnaenge mufti e bidath ko (×2)
hum sabhi hazir hain shah ki nusrath ko
chalne denge na koi bhi fatwa (×2)
abhi hum zinda hain......
5. hum ko nahi hai jaan ke (jaane ka koi ghum)...... ×2
khaate hain khoon may shah e (shahidan ki hum khasam).......×2
hajayein horahe hain (agar haath bhi khalam)×2
har haal may uthayenge (abbas(jjh) ka alam)×2
yeh juluson ka safar hum na rukne denge...(×2)
kabhi ghazi(jjh) ka alam nahi jhukne denge (×2)
keh rahe hain yeh sabhi ehle aza (×2)
abhi hum zinda hain......
6. karbala bhul na jao kahin tum misle ghadeer
is liye shaan se hum karte hain zikr e shabbir (jjh)
surah e kaif ki bhule na zamana tafseer
chand suraj ki tarah pehle wila ki tanveer
khafela shah ka pyaasa tha na paya paani
thi wilayat ke liye kitni badi qurbaani
sun hamara paigham....
aye wilayat ke adhoo....
ishq e haider har dam
humko dayta hai numuh
waqf hai iske liye bas hamara yeh lahu
har sama ab tak ise aise lay jainge
maqsad e karbobala yun hi pohanchaengay
koun rokega yeh aawaz e wila (×2)
abhi hum zinda hain......
7. gaib se dayte hain aawaz imam e hujjath (jjh)
saath har lamha tumaray hai hamari nusrath
yun hi karte raho tumlog aza ki khidmat
zehn mein rakna gham e sibtey nabi ki hurmath
har musibath tum se
dur hum kardenge
gowhar e hajath se jholiya bhar denge
dushamno se na daro mutmaeen dil se raho
hoke be khauf karo gham sheh ka (×2)
abhi hum zinda hain.....
8. maqsad e karbobala hai mere moula ki wila
hum na chodenge "ali yun wali ullah" ki sada
sheh ne adnan o hilal iska he paigham diya
koi zaalim bhi mita sakta nahi naam e khuda
qatl bhi karde agar ran mein mujhe fauj e jafa
kam nahi hogi kabhi sham e wilayat ki zia
nok e naiza pe bhi sar bolega (×2)....
abhi hum zinda hain.....(×2)