Zindan Me Ek Masooma Hai
- MIR HASAN MEHDI (2022)
Zindan me ek masooma hai
baba ko sadayen deti hai
Baba ki yaad me har lamha dewaar se sar takrati hai
Zindan me ek masooma hai...
-------------------------------------------
Kehti hai ye bhaiyya Abid se
Baba se milade aye bhaiyya
Sojaongi un ke seene per
Ab khaak pe neend na aati hai
Zindan me ek masooma hai...
-------------------------------------------
Zindan ke andheron me baba
kyun chorh Gaye mujhko tanha
Aate nahin lene tum mujhko
Na maut bhi lene aati hai
-------------------------------------------
Soti hai bas ek lamhe ke liye
chilla kar phir uth jati hai
Ek hashr bapa hojata hai
Zalim ke tamanche khati hai
-------------------------------------------
Roti hai jo apne baba ko
Zalim durra lehrata hai
Abid ko bachane ki khatir
Khamoosh wo phir hojati hai
Zindan me ek masooma hai...
-------------------------------------------
Kehti hai Rabab se aye Amma
Asgar ko kahan dhondhon jakar
Besheer ki furqat me dekho
roro ke Jan ye jaati hai
Zindan me ek masooma hai...
-------------------------------------------
Bas itna batado kya koi
karta hai zulm yateemon per
Purse ke badle ye ummat
Patthar hum per barsati hai
Zindan me ek masooma hai...
-------------------------------------------
Hai chaar baras ki umr magar
lagti hai zayeefa wo Qaisar
Sar good me lekar baba ka
ek shab wo Hasan so jati hai
Zindan me ek masooma hai...
-------------------------------------------