Shahe Mardan Ya Ali

- Minhal Ali Rizvi (2021)


Shahe mardan ya Ali
Shere yazdan ya Ali

1-Haye unneswi ramza'n thi musibat ki ghadi
Ibne muljim ki mere maula pe jab Tegh chali
Dard se roya falak aur zamee kaanp uthi
Peet k rote the sir apna sar-e khuld nabi
Roohe Quran ya ali
Jaane Rahman ya ali

2-Haye Hasnain ne kis tarha ye mahshar dekha,
Masjide koofa me ik hashr ka manzar dekha,
Khoo'n me doobe hue baba ko zamee'n per dekha
Zulm ki Tegh se Zakhmi sar-e Athar dekha
Khalq ki Jaan ya ali
Ibne imran ya ali

3-Hashr se pahle bapa khuld me hai ik mahshar
fatima binte asad peetti hain apna sir
khuld me chaak gareebaan hue paighambar
Haye taaraj hua hai abutalib ka ghar
Jinno insan ya ali
Tujhpe qurban ya Ali

4-aaya jab ghar me tan-e athare shaah-e laulaak,
girya krte the mere maula pe jinno amlaak,
Baap k gham me the beto'n ne gharibaa'n kiye chaak,
Aur naamoose nabi daalti thi baalo pe khaak,
marde maidaan ya ali
Shaahe zeeshan ya ali

5-peet k krti hai sar apna ye zainab nauha
Kisne ye haal banaya hai mere baba ka
Ibne muljim tujhe Allah na kbhi bakhshega
Tune mara hai mere baba ko bejurmo khata
deeno iman ya Ali
Haq ki pahchan ya ali

6-gham me maula k zano mard hain sare maghmoom,
bain krti hain lipat kr ye pedar se KULSOOM
Haye kya waqt pada humpe aye rabbe qayyum
Hogyi betiyan shafqat se pedar ki mahroom
gham ka Darman ya ali
Sabka arman ya Ali

7-uth gaya naaz masheeyat ka uthane wala
Apne phoolo se chaman dee'n ka sajane wala
Sari duniya ko musibat se bachane wala
Qatl masjid me hua Kaabe me aane wala
rab ka elaan ya ali
Dee'n ka unwan ya ali

8-baithi hain umme banee qurb-e shahe nek khesal
Khaak aalood hai rukh aur hain khole hue baal
Kahti hain lashe Ali se ye basad ranjo malal
Haye waali na kiya tumne zara mera khayal
tu hi furqan ya Ali
Tu hi mizan ya ali

9-haye minhalo suhail ab wo namazi na rha,
Jo her ik jung ka fateh tha wo ghazi na rha
dee'n pe jo Jaa'n ki laga deta tha bazi na rha,
Dee'n ka rahbar na rha shahe hejazi na rha,
dee'n ka Sultan ya ali
Ishqe subhan ya Ali