Akbar Ki Sawari

- Ali Shanawar and Ali Jee (2022)


Wa wayla, Haye Wayla(2)
Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila(2)
Akbar ki sawari jaati hai.

Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja

khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki sawaari jaati hai

Hum shakl e Payambar jata hai
dil baap ka dooba jaata hai,(2)
dil baap ka dooba jaata hai,
Sar peet rahi hai maañ dukhiya
Sar peet rahi hai maañ dukhiya
Akbar ki sawaari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar ki sawaari jaati hai
Akbar ki sawaari jaati hai

18 baras naazoñ se jise
Parwaan chadhaya Zainab ne,(2)
Parwaan chadhaya Zainab ne,
Gulshan hai ujda Zainab ka
Gulshan hai ujda Zainab ka
Akbar ki sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar ki sawaari jaati hai

Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja

khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki sawari jaati hai

Kehti thi Sakina ro ro kar
Laut aao Bhai Ali Akbar,(2)

Laut aao Bhai Ali Akbar
Qadmoñ se lipti masooma
Qadmoñ se lipti masooma
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar ki sawaari jaati hai
Akbar ki sawaari jaati hai

Akbar se sakina jab lipti
Shabbir ko sughra yaad aayi,(2)

Shabbir ko sughra yaad aayi
Use kaise batayeñ ye baba
Use kaise batayeñ ye baba
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar ki sawaari jaati hai

Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja

khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki sawari jaati hai

Kuch der ruko beta Akbar mai tumko bana to lu dulha(2)

Mai tumko ko bana to lu dulha
Afsos na raas aaya sehra
Afsos na raas aaya sehra

Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila ×2

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

Teri yaad bahot tadpayegi
Maañ jeete ji mar jayegi,(2)

Maañ jeete ji mar jayegi
Maadar ke labon par hai nauha
Maadar ke labon par hai nauha
Akbar ki sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila ×2

Akbar ki saawari jaati hai

Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja

Khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki sawari jaati hai

_Jaao Akbar, jaao Akbar_

Shah kehte the jaao Akbar
Mujhe dekhte rahna mud mud kar, (2)

Mujhe dekhte rahna mud mud kar
Deta hai sada boodha baba
Deta hai sada boodha baba
Akbar ki saawari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila ×2

Akbar ki saawari jaati hai

Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja

Khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki sawari jaati hai
Wa wayla Haye Wayla (2)