Hussain Ja Chuke Ab Tera Kaam Hai Zainab

- Syed Mussaib Rizvi (2005)


hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab

ya hussain ya hussain x2

sham ke karbobala ka payaam hai zainab

hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab

ya hussain ya hussain x2

tassalli deni hain sajjad e natawan ko abhi

Sambhalna hai sakina si neem jaan ko abhi tere liye to abhi ye bhi kaam hai zainab

hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab

ya hussain ya hussain x2

aseer karke yateemon ka karwaan zaalim phiraahenge abhi tujhko kahan kahan zaalim saza e darbadari tere naam hai zainab

hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab

ya hussain ya hussain x2

abhi yateemo ko dena hai hausla tune kai yazeedon ka karna hai saamna tune safar ki tujh pe musibat tamam hai zainab

hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab

ya hussain ya hussain x2

hazaar ranj uthayenge sayyede sajjad

jigar pa zakhm abhi khayenge sayyede sajjad ye nahi ghar nahi hai ye darbar e aam hai zainab hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab

ya hussain ya hussain x2

padegi sar pe abhi khaak e karbala bibi

bohot taweel hai kufe ka raasta bibi yateem bacche hain aur rahe shaam hai zainab

hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab

ya hussain ya hussain x2

abhi to jana taareekh qaid khane me lagenge zakhm bohot ranjo gham uthane me watan nahi hai ye zindane shaam hai zainab

hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab

ya hussain ya hussain x2

abhi to ye bhi qayamat ka kaam karna hai har ashk bali sakina ke naam karna hai ye tu karegi wo kaare imam hai zainab

hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab

ya hussain ya hussain x2

zafar Madine me ek hashr ab bapa hoga watan me fatema sughra se saamna hoga wahan pe gham ka jahan ikhte taam hai zainab

hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab

ya hussain ya hussain x2