Yaa Ghazi
- Hasan Abbas (2020)
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS

Tu hai qamare bani hashim tu banda aasmaani hai
Lahoo meiñ hai alamdaari alam teri nishaani hai
Sakeena ka chacha hai tu wafa teri kahaani hai
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
Andhere meiñ diya abbas , muhabbat ki hawa abbas
Mile ham ko museebat meiñ tumhara aasara abbas
Maraz se jo Pareshañ haiñ unheiñ de de shifa abbas
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
Imaamat ka sahaara hai tu zahra ka dulaara hai
Tu mehnat murtaza ki hai tu sarvar ka guzaara hai
Hamaari joliyañ bharde sakhi darbaar tera hai
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
Laqab baabul hawaej hai , ataoñ ka samandar hai
Ghareeboñ ke liye ghazi , sahara aap ka dar hai
Havaale aap ke ghazi , kiya ham ne muqaddar hai
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
Kabhi rab rad nahñ karta mere movla duva teri
Hamaara kaam ban jaaye jo mil jaaye raza teri
Haiñ jinki godiyañ khaali ho un par bhi ata teri
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
Gire kat kar tere baazu huva aisa sitam ghazi
Tere hi khoon se rangiñ huva tera alam ghaazi
Tere jaane se hai toota Shah e deeñ ka bharam ghazi
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
Qaza ki jab khabar aayi , Pukaari zainabe muztar
Yaqeeñ ab ho gaya mujhko , chhinegi sar se ye chadar
Pukaare dasht meiñ sarvar , mera mara gaya lashkar
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS YA GHAZI ABBAS
Tumhare zikr se hat kar , na koi kaam ho ghaazi
Samandar shaeri ka bhi , use ilham ho ghazi
Sukhankaaroñ ki duniya meiñ , 'hasan' ka naam ho ghazi

...........