Muntazir Aap Sabhi Ki Hai Wo Sughra Muztar

- Raees Abbas Rizvi (2011)


Bola Qasid Khat-e-sughra Shah-e-deen Ko Dekar,
Muntazir Aap Sabhi Ki Hai Wo Sughra Muztar,

Bola Sughra Hai Bahut Gham Ki Satayi Aaqa,
Deti Rahti Hai Wo Ro-roke Dohayi Aaqa,
Kahti Hai Aaya Na Lene Mujhe Bhayya Akbar.

Naqsh-e-paa Ret Pe Akbar Ne Banaya Tha Jo,
Rakh Ke Rukhsar Usi Par Hai Bahut Roti Wo,
Roke Kahti Hai Mere Bhai Main Sadqey Tujh Par.

Kahti Hai Ladyan Sajaoongi Tere Sehrey Ki Main,
Aur Nazar Bhi To Utaroongi Tere Chehrey Ki Main,
Boli Laoongi Dulhan Chaand Si Aaja Akbar.

Kahti Hai Mujhko Madiney Me Hai Tanha Chhoda,
Bhai Akbar Ne Bhi Mujhse Hai Munh Apna Mauda,
Mujhko Aata Hai Bahut Rona Meri Qismat Par.


Kabhi Jhoola Main Jhulati Kabhi Karti Baten,
Is Tarah Beet Hi Jate Mere Din Aur Raten,
Boli Bahlata Mera Dil Bhi Jo Hota Asghar.


Kabhi Roti Hai Kabhi Kahti Hai Baba Baba,
Jake Pardes Me Mujhko Hai Bhulaya Baba,
Aur Kahti Hai Na Aaoge Mujhe Lene Padar.

Ab Main Samjhi Hai Sakina Tumhen Pyari Baba,
Is Liye Yaad Nahi Aayi Hamari Baba,
Boli Sach Hai Kya Ye Hi Aake Bata Do Sarwar.

Hai 'Raees' Hota Bapa Hashr Ka Manzar Dekho,
Deta Qasid Hai Jo Sughra Ki Khabar Ye Shah Ko,
Leke Aankhon Me Wo Aansoo Hai Dar-e-khaima Par.