Kehti Thi Sakina (SA)

- Shozab Abbas (2022)


Haye...

Jab Shor utha haye atash haye atash
Abbas chale mashk uthaye suye Darya
Aane me huwi dair Sakina ne pukara
Aajao chacha jaan chale aao khudara
Wada hai bhatiji ka ye jab tak mein jiyungi
Pani ke liye aap se Phir zid na karungi

Kehti thi Sakina mein har ek dard sahungi (2)

Bin aapke ammu na jiyungi na jiyungi

Kehti thi Sakina mein har ek dard sahungi (2)

Aasaar atash aane na dungi mein labo'n par (2)
Jo sabr ki sarhad hai usi hi mein rahungi

Kehti thi Sakina mein har ek dard sahungi (2)

Bechain hun ammu mujhe seene se lagalo (2)
Chain ayega kuch dair jo aaram karungi

Kehti thi Sakina mein har ek dard sahungi (2)

Ab aapse maangenge na bachhe kabhi paani (2)
Mein pyaas ki Asgar ka unhen waasta dungi

Kehti thi Sakina mein har ek dard sahungi (2)

Gar umr meri pyaas ke sholo'n me hi guzray (2)
Pani ka kabhi aapse shikwa na karungi

Kehti thi Sakina mein har ek dard sahungi (2)

Jo ran ko gaya subha se wapas nahi aaya (2)
Gar aap nahi aaye'n to zinda na rahungi

Kehti thi Sakina mein har ek dard sahungi (2)

Baba dar e khaima pa kamar thame khade hain (2)
Laut aao chacha jaan mein pyasi hi rahungi

Kehti thi Sakina mein har ek dard sahungi (2)

Zahid lab e Shozab se ju'nhi nikla ye noha (2)
Keh utthi hawa inko Najaf le ke chalungi

Kehti thi Sakina mein har ek dard sahungi (2)