Matam E Shabeer
- Irfan Haider (2022)
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
Matam E Shabbir, Matam E Shabbir
Ye Matam E Shabbir Azadar Kare Ge
Matam E Shabbir Azadar Karen Ge
1) Dill Mein Basa Hai Ishq E Hussaini
Ishq Ka Yun Izhar Karain Ge
Ye Matam E Shabbir, Ye Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Ge
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
2) Sheh Ki Aza Pe In Ka Pehra Ye Hain Dil E Zehra Ka Yaqeen
In Ka Alam Hai Sab Se Aage In Se Aage Koi Nahi
Halqa E Matam Ki Salaari
Ghazi Alam Bardar Karen Ge
Ye Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Ge
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
3) Qama Zani Zanjeer Zani Se Apna Khoon Bahate Hain
Matamiyo'n Ke Khoon Ke Qatre Aik Diya Ban Jate Hain
Apne Lahu Se Yun Hi Ujale Shah Ke Pursadar Karen Ge
Ye Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Gy
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
4) Dast E Ali Pe Baiyat Ki Hai Denge Gawahi Arsh O Zameen
Hai Mera Rehbar Mola Haider Mera Wali Or Koi Nahi
Ghair Ki Baiyat Se Har Lamha Aaj Bhi Hum Inkar Karen Ge
Ye Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Ge
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
5) Wo Jo Ghatata Hai Mimbar Pe Aal E Nabi Ki Azmat Ko
Bhool Gaya Hai Wo Kufe Mein Lashkar E Zulm Ki Halat Ko
Dekhna Ik Din Tera Muqassir Hashar Wahi Mukhtar Karen Ge
Ye Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Ge
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
6) Ye Sare Noha Khuwan E Hussaini In Ko Chuna Hai Zehra Ne
Ye Sare Zakir Sare Sana Khuwan Parhte Hain Izn E Mola Se
Tum Jo Karo Ge In Ki Izzat Mola Bhi Tum Se Pyar Karen Ge
Ye Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Ge
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
7) Mojza Hai Yeh Ishq E Ali Ka Karta Hai Yeh Naslon Mein Safar
Is Mein Koi Do Raaye Nahi Hai Baap Ke Jaisa Ho Ga Pisar
Matamiyo'n Ki Aulado'n Par Apna Karam Sarkar Karen Ge
Ye Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Ge
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain
8) Un Ki Raza Hoti Hai Marzi Milta Hai Tab Irfan E Aza
Sahib E Alam Ki Janib Se Hone To Do Ailan E Aza
Sibt E Nabi Ke Soag Mein Matam
Ghar Ke Dar O Deewar Karen Ge
Ye Matam E Shabbir
Matam E Shabbir Azadar Karen Ge
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain