Hussain Zindabad

- Shozab Abbas (2022)


Fatima ka qalb, noore ain zindabad
Zaate Murtuza ke dil ke chain Zindabad
Ho raha hai ban me shor o shain zindabad

Zindabad Karbala Hussain Zindabad (2)

Hussain

Zindabad Karbala Hussain Zindabad

Aarahi hai arsh se sadaye kibriya
Karbala me aake keh rahe hain Anbiya

Zindabad karbala Hussain Zindabad (2)

Asr ki ghadi hai karbala ki khaak hai
Aur Shabab khuld ka jigar bhi chaak hai
Aale mustafa pe waqt karb naak hai
Aaftab ki tapish bhi theek thaak hai

Aise me ye keh rahi hai khaake Karbala (2)
Nainawa Hussain ki Hussain ka Khuda

Zindabad karbala Hussain Zindabad (2)

Karbala azal se imtehan ki hai jaa
Karbala me zaqm kha chuke hain Anbiya
Karbala ke karb ki na thi koi dawa
Karbala me maangti thi karbala panah

Par Hussain ke lahu ka hai ye Maujiza (2)
Aaj karbala ki khaak me bhi hai Shifa

Zindabad karbala Hussain Zindabad (2)

Dehr me zameen ki Jabee'n hai karbala
Khuld ke makeen ki zamee'n hai Karbala
Khoone shaahe deen ki amee'n hai karbala
Is liye hame bahut Hasee'n hai karbala

Noore Chashm Fatima Ali ke dil ka chain (2)
Hashr tak yahan pa bas gaye hain Hussain

Zindabad Karbala Hussain Zindabad (2)

Anbiya o Auliya o Ausiya Imam
Karte hain Salam karbala ko Subha shaam
Soye hain yahan pe jis ghadi se tashna kaam
Lete hain adab se saare karbala ka naam

Be kafan ki laash ne ye Mojiza kiya (2)
Chahiye Kafan sabhi ko karbala hi ka

Zindabad Karbala Hussain Zindabad (2)

Shah ne jo dashte nainawa khareed li
Asl me toh qabr ki jagah khareed li
Roshni bujhake khud Ziya khareed li
Saath me khuda ki har Reza khareed li

Deene Mustafa bacha hai aap se Hussain (2)
Zikr kibriya bacha hai aapse Hussain

Zindabad Karbala Hussain Zindabad (2)

Jis tarha Hussain ne basayi Karbala
Jis tarha se ban me apna ghar luta diya
Jis tarha se asr tak saji thi qatl gaah
Aur jis tarha hua wahan Khuda Khuda

Hashr tak wo Daastan Khud sunayegi (2)
Karbala Hussain ko na bhool payegi

Zindabad Karbala Hussain Zindabad

Arsh o farsh ki sada
Hussain Zindabad

Keh raha hai khud khuda Hussain Zindabad

Hai Sadaye Mustafa
Hussain Zindabad

Bol uthe hain Murtuza Hussain Zindabad

Hai Hamara vird Kya
Hussain Zindabad

Hai Hamara deen Kya Hussain zindabad

Hai hamari fikr kya
Hussain Zindabad

Hai labon pa zikr Kya Hussain Zindabad

Rooh me Basa hua
Aur lahu me daurta
Ibteda ki inteha
Inteha ki ibteda

Hussain Zindabad
Hussain Zindabad

Hussain Hussain Hussian Zindabad (2)