Khuwab-e-sakina

- Syed Dayeem Raza (2022)


Qaid khane me sare shah e huda jab aaya
Muh pe muh rakh ke sakina ne yahi farmaya
Aap ke baad laeeno ne bahut tadpaya
Apko yaad kiya jab bhi tamacha khaya
Sogayi qaid me jab baap ke sar ko dekha
Khuwab me rote huwe apne padar ko dekha
Khuwab se chonki to madar se ye ro ro ke kaha
Ab kuch hi der me le jayenge mujh ko baba

Roke ye bali Sakina ne pukara amma
Ajj Zindan se safar hoga hamara amma
Saktiya aur nahi hoti gawara amma...

1)lao kursi koi tashreef wo laate honge
Mere baba mujhe ab lene ko aate honge
Koi masnad hoo to bichwao khudara amma..

2)daur e ghurbat me karam itna sa farma dijiye
Ye phata kurta sakina ka badlwa dijiye
Mudate hogayi isko na utara amma ..

3)baap ke saamne sar nange mai jau'n kaise
Baal choote hai mere muh ko chupau'n kaise
Sar chupane ka nahi ab koi chara amma..

4)muntazir apni sakina ki bade hain abbas
Jam-e-kausar liye hatho me khade hain abbas
Khuwab me dekha hai kausar ka Kanara amma..

5)Bahe'n pehlaye huwe dekha hai Asghar ko abhi
Jaise agoosh me rakhlega mere sar ko abhi
Khuwab me usne bahen keh ke puakara amma..

6)Qaidio aao yateema ki duaye lelo
Sheh-e-deen aayenge sab sar pe ridaye lelo
Be rida baitha hai kunba mera sara amma

7)aap reh jayegi Zindan me rone ke liye
Baap ke seene pe jati hoon mai sone ke liye
Waqt kis tarha se guzrega tumahra amma

8)dhiyan rakhna inhe zalim na sataye koi
Bhaiya sajjad ko dura na lagaye koi
Khuld me hogi mulaqat dubara amma..

9)hashr me hogi meri nazre karam sahil par
Hai maherban bahut shah-e-umam sahil par
Aur Dayeem bhi to khadim hai hamara amma..

Ajj Zinda se safar hoga hamara amma