Rukhsati Ghazi Abbas Ki

- Azadar Hussain Sayyed (2022)


Haye jari abbas (4)
Bawafa abbas

Bhool payi na zainab kabhi
Rukhsati ghazi abbas ki

Umr bhar dil dukhati rahi
Rukhsati ghazi abbas ki

1) Jis ghadi izn lekar chala
Bibiyo me thi aaho buka
Sheh me apni kamar tham lee
Rukhsati ghazi abbas ki

Bhool payi na zainab kabhi
Rukhsati ghazi abbas ki

2) uski rukhsat pe aisa laga
Jaise lasha koi uth gaya
Sab ke chero pe thi bebasi
Rukhsati ghazi abbas ki

Bhool payi na zainab kabhi
Rukhsati ghazi abbas ki

3) keh rahe the yahi shah he dee
Tham kar apna qalbe hazee
Kaise seh paunga mai akhee
Rukhsati ghazi abbas ki

Bhool payi na zainab kabhi
Rukhsati ghazi abbas ki

4) Jab laga aake teer e jafa
Pani mashkize ka beh gaya
Saath me saari hasrat bahee
Rukhsati ghazi abbas ki

Bhool payi na zainab kabhi
Rukhsati ghazi abbas ki

5) pushte rehwar se jab gira
Hatho ka bhi na tha aasra
Haye ghazi teri bebasi
Rukhsati ghazi abbas ki

Bhool payi na zainab kabhi
Rukhsati ghazi abbas ki

6) Sunke daste wafa kat gaye
Sheh ke qalbo jigar phat gaye
Jaise dil par chali ho churi
Rukhsati ghazi abbas ki

Bhool payi na zainab kabhi
Rukhsati ghazi abbas ki

7) Dekh kar sheh ke asghar mehan
Hai azadar lab par sukhan
Chain shabbir ka legayi
Rukhsati ghazi abbas ki

Bhool payi na zainab kabhi
Rukhsati ghazi abbas ki