Chalta Rahe Karwan

- Nadeem Sarwar (2022)


Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2

Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho ×2

Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwaan
Chalta Rahe Ye Karwaan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2

Chalta Rahe Ye Karwaan ×2

Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwaan ×2

1. Ye Karwaan Hai Ahle Aza Ka
Ye Karwaan Hai Karbobala Ka
Sar Pe Alam Hai Shah e Wafa Ka
Ye Silsila Hai Sabr o Riza Ka

Jab Tak Ye Dum Ho
Maula Ka Gham Ho
Gham Ye Na Kam Ho
Har Aankh Nam Ho

Mashk o Alam Ho Pasbaan
Chalta Rahe Ye Karwaan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2

Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwaan ×2

2. Is Karwaan Ka Hussain Rehbar
Shamil Hai Isme Sheh Ke Bahattar
Jinn o Malak Bhi Chalte Hai Mil kar
Shamil Hai Hum Bhi Adna Se Nokar

Bazm e Aza Hai
Raah e Wafa Hai
Sab Ki Sada Hai
Sab Ki Dua Hai

Roshan Rahe Ye Kehkashaan
Chalta Rahe Ye Karwaan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2

Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwaan ×2

3. Salaam Tum Par Hussain Walon
Aey Azadaaron Aey Gham Gusaaron
Ali o Zehra Ke Jaan Nisaron
Ishq e Nabi (SAW) Ke Roshan Sitaron

Aey Pursa Daron
Aey Soagwaron
Ghazi Ke Pyaron
Sheh Ke Dulhaaron

Tum Par Khuda Ho Meherbaan
Chalta Rahe Ye Karwaan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2

Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwaan ×2

4. Hussain Maula Ka Qafila Hai
Majlis o Matam Ka Silsila Hai
Nabi (SAW) Ke Ghar Ka Ye Tazkira Hai
Hussainiyat Ka Hami Khuda Hai

Ya Rasool Allah (SAW)
Ya Nabi Allah (SAW)
Hum Sab Ke Aaqa
Daaman Tumhara

Hussainiyon Ka Saayebaan
Chalta Rahe Ye Karwaan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2

Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwaan ×2

5. Hussain Ka Gham Zinda Rahe Ga
Matam Zamana Karta Rahe Ga
Farsh e Aza To Bichhta Rahe Ga
Hussaini Parcham Ooncha Rahe Ga

Ye Azadari
Ye Pursadari
Ghar Ghar Hai Jari
Giryaan o Zaari

Noha Kunaan Hai Do Jahaan
Chalta Rahe Ye Karwaan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2

Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwaan ×2

6. Kya Shaan Hogi Is Karwaan Ki
Jab Hoge Shamil Imam e Mehdi (atfs)
Sharf e Ziyarat Hoga Humain Bhi
Matam Bhi Hoga Majlis Bhi Hogi

Hum Denge Pursa
Karbobala Ka
Har Be Khata Ka
Har Be Rida Ka

Maula Bhi Hoge Darmiyaan
Chalta Rahe Ye Karwaan

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×2

Seeno Me Gham Ho, Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho, Matam Na Kam Ho

Chalta Rahe Ye Karwaan ×2

Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina ×3