Alwida Madeena Alwida
- Hasan Abbas (2022)
Laut kar na hoga ab hamara aana
Alwida madeena alwida madeena
Aaj phirse nahaq ne hai sar uthaya
Deen e haq ka beda mushkiloñ meiñ aaya
Paar hai lagaana deen ka safeena
Alwida madeena alwida madeena
Hai taweel rasta garmiyoñ ka mausam
Hoga har qadam par ab ghamoñ ka aalam
Phir bhi aik waada hai mujhe nibhaana
Alwida madeena alwida madeena
Chhod kar chale haiñ ham mazaare zahra
Ho na jaaye soona mustafa ka roza
Roz meri jaanib se diye jalaana
Alwida madeena alwida madeena
Haq pe hi jiya huñ haq pe hi marunga
Baiyat e yazeedi maiñ nahiñ karunga
Chaahe laakh kar le zulm ye zamaana
Alwida madeena alwida madeena
Daanv par lagi hai ambiya ki mehnat
Laaelaah ko hai khoon ki zaroorat
Shamma e hidayat hai mujhe jalaana
Alwida madeena alwida madeena
Intezaar sadiyoñ se wo kar raha hai
Karbala ka sehra de raha sada hai
Ab wo hi hai manzil ab wo hi thikaana
Alwida madeena alwida madeena
Bhool wo gaye ke kiske haiñ nawaase
Shaam ke qasaae haiñ lahoo ke pyaase
Ghar bhi hai lutaana sar bhi hai kataana
Alwida madeena alwida madeena
Ye mera qabeela ab wahiñ basega
Karbala ke ban meiñ hashr tak rahega
Qabr par hamaari tum zaroor aana
Alwida madeena alwida madeena
Yaad ham ko aayengi ye paak galiyañ
Haashami mohalla or saari khushiyañ
Maiñ nahiñ bhulunga tu bhi na bhulaana
Alwida madeena alwida madeena
Aye 'hasan' chala jab saiyadoñ ka kunba
Ro rahi thi basti ro raha tha rasta
Ro ke har qadam par sheh ka kehte jaana
Alwida madeena alwida madeena