Mai Husain Ko Na Bacha Saki
- Anjuman e Hussainiya balwaghat jaunpur (2016)
(1) kahe ro ke zainab-e-gham zada
main husain ko na bacha saki …..2
ye satayega mujhe gham sada
main husain ko na bacha saki …..2
(2) mere samne hi gala kta,
mere samne hi lahoo baha,
dare khaime pe main khadi rahi,
mera bhai mujhse juda hua,
main uthau kaise ye gham bhala.
main husain ko na bacha saki.
kahe ro ke zainab-e-gham zada
main husain ko na bacha saki.
(3) meri maa ke dil ka qarar tha,
mera bhai mera waqar tha
use mujhse jitna lagao tha,
mujhse usse utna hi pyar tha,
nakabhi kahi bhi rahe juda.
main husain ko na bacha saki.
kahe ro ke zainab-e-gham zada,
main husain ko na bacha saki.
(4) ye batao mujhko mere khuda,
mere dard-e-dil ki dawa hai kya,
main jiyu kasie jiyu bhala,
karu to kisse karu gila,
mere pass jo tha loot gya,
main husain ko na bacha saki.
kahe ro ke zainab-e-gham zada,
main husain ko na bacha saki.
(5) ye gila karugi main umr bhar,
mera q na kata laeee ne sir,
mujhe q phiraya hai dar ba dar,
mujhe q rulaya sare safar,
mera jurm kya tha jo di sada.
main husain ko na bacha saki.
kahe ro ke zainab-e-gham zada,
main husain ko na bacha saki.
(6) koi aanch aaye na bhai par,
yaha sath aai ye soch kar,
main thi har khabar se hi bekhabar,
mujhe kya pata tha ki ahl-e-shar,
na karege mujhse kabhi wafa,
main husain ko na bacha saki.
kahe ro ke zainab-e-gham zada,
main husain ko na bacha saki.
(7) mere bazuo me bandhi rasan,
mere bhai ko na mila kafan,
unhe yaad rakkhugi har ghadi,
jo kiye hai ranjjo sitam sahan,
teri sarzami pe aye karbala,
main husain ko na bacha saki.
kahe ro ke zainab-e-gham zada,
main husain ko na bacha saki.
(8) kya ye kam sitam hai chini rida,
kya ye gham hai kam mera sir khula,
likhe kaise aasif ye nauha gar,
jo na hona chahiye the wo hua,
mai padhugi roz ye marsiya.
main husain ko na bacha saki.
kahe ro ke zainab-e-gham zada,
main husain ko na bacha saki. ….