Shabbir Kay Galay Par
- Irtaza Naqvi (2022)
Shabbir Kay Galay Par Khanjar Rawaa Dawaa Hai.....2
Aye Sadaye Zehra...2
Ghazi Mera Kahan Hai
Shabbir Kay Galay Par Khanjar Rawaa Dawaa Hai.....2
1. Tanha Uthaya Jisnay Kariyal Jawaan Ka Laasha
Koi Nahi Hai Uska Laasha Uthanay Wala
Laasho Bhari Zamee.....2
Khoo'n Rang Aasmaa Hai.
2. Shabbir Kay Sirhanay Zehra Khari Hoi Hain
Dooba Hoa Laaho May Baitay Ko Dekhti Hain
Itnay Hain Teer Khaye.....2
Khoo'n Jism Say Rawaa Hai.
3. Majboor Bewatan Yeh Haye Kisay Pukaray
Bikhray Hoey Hain Shah Kay Charoon Taraf Janazay
Zakhmi Hussain(A.S) Mera.....2 Laashon Kay Darmiyaan Hai.
4. Ghash Kha Rahi Thi Haye Sher E Khuda Ki Beti
Bhai Ki Paimali Sattar 70 Qadam Say Dekhi
Manzar Yeh Souch Kar Hi.....2
Har Ankh Khoo'n Fishaa Hai.
5. Chalta Tha Kund Khanjar Mazloom Kay Galay Par
Dam Toorta Tha Pyasa Haye Tarap Tarap Kar
Sokha Hoa Gala Hai.....2
Sokhi Hoi Zaban Hai.
6. Uthti Hai Surkh Aandhi Azlan Karbala May
Bus Khoon Ki Hai Khushbo Charoon Taraf Fizaa May
Karbobala Ka Manzar.....2
Na Qabilay Bayaan Hai.
Shabbir Kay Galay Par Khanjar Rawaa Dawaa Hai.