Tha Bali Sakeena Ka Noha

- Murtuza Jazib (2020)


Khwab me bali sakeena k jo aaye sarwar-
haye mazloom husaina ki sada thi lab par-
Aaya jab tasht me beti k liye bap ka sar-
Tha ajab dard bhara qaid e sitam ka manzar-

Sar pa sar rakh ke fugha'n karti thi-
Apne baba se ye ro ro k baya'n karti thi...


Paas apne bula lije baba
Tha bali Sakeena ka noha - paas apne bula lije baba.


1)Kal aap ke seene per sooyi-
Ab khakh pe baba soti hun-
Ye shimr e layeen kyun marta hai-
main aap pe jab bhi roti hon(2)
Jeene main nahin ab dil lagta-
Paas apne bulalije baba.

2) Aada ne guzara hai humko-
Be parda bhi bazaaron se-
Dil zakhmi huwa mera baba-
In sadqon ki bocharon se(2)
Kehte hain hamin baaghi aada-
Paas apne bulalije baba.

3) Darbaar e sitam me bey chadar-
Ye zulm huwa baba mujhpar-
Jab Maanga kaneezi me mujhko-
Abid pe chala gham ka khanjar(2)
Main deti rahi ammu ko sada-
Paas apne bulalije baba.

4) Nazdeek hi darya behta tha-
Ek bond na lekin mujhko mili-
Zalim ne jo pani phenk diya-
Main pyasi kharhi takti he rahi(2)
Ehsas e yatemi mujhko huwa-
Paas apne bulalije baba.

5) Seena jo tumhara yaad aaya-
Kehti thi phuphi ammañ mujhse-
Aa soja tu mere seene par-
Baba na tere ab aayenge(2)
Dil gham se huwa para para-
Paas apne bulalije baba.

6) Jab jab bhi main royi hun baba-
Sajjad ne durre khaye hain-
Khamoosh huwi jab bhi baba-
Zalim rulwane aaye hain(2)
Yun mujhko satate hain aada-
Paas apne bulalije baba.

7) Lagta hai ke main marjaongi-
Ghar laut ke jana paaongi-
Zindañ ke andhere me baba-
Ek din main yahin sojaaongi(2)
Qismat hai andhera ghar mera-
Paas apne bulalije baba.

8) Aaghosh me lekar baap ka sar-
Bibi ne kiya duniya se safar-
Shahkar tha barpa ek mehshar-
Zindan me aye Jazib Qaisar(2)
Ab kaun padhega ye nauha-
Paas apne bulalije Baba.

Tha Bali Sakeena Ka Noha Paas Apne Bulalije Baba.