Baba Ab Hamse Tamache Nahi Khaye Jaate
- Azadar Hussain Sayyed (2021)
Baba ab hamse tamache nahi khaye jate
1 • Jaante the na sitam istarah tadpaega
Soch kar ab bhi tadap te hai tumara jana
Kash ae baba hame saat me tum le jate
Baba Ab Hamse tamache.....
2• bhool payenge na ham ap ka ran me jana
Pyar karna kabhi sine se hame liptana
Hai tamache waha lete the jaha tum bose
Baba Ab Hamse tamache.....
3• shimr ke kauf se ghut ghut ke hi jite hai ham
Kitne ayyan hue nind ko tarse hai ham
Milta gar sina hame apka to so jaate
Baba Ab Hamse tamache.....
4• koi in zaalimo se aake bacha le hamko
Kitni be dardi se mare hai tamache hamko
Hote ammu to tamacho ke nisha diklate
Baba Ab Hamse tamache.....
5• apki godme naazo se pale ham baba
Zindagi me kabhi paidal na chale ham baba
Ab ye kaate bhare raste nahi kaate jate
Baba Ab Hamse tamache.....
6• ye andhera na ye tanhahi na ye zindan hota
Na hamare liye ye qaid ka sama hota
Gar madad ke liye abbas chacha aajate
Baba Ab Hamse tamache.....
7• Nanhe se halq pe phir tire sitam na chalta
Saat phir asgar e beshir hamare aata
Leke ham godme masum ka dil behlate
Baba Ab Hamse tamache.....
8• ap ke baad bhala jina hamara kaisa
Phir se mil jata agar ap ka sina baba
Our kuch apki agosh me ham ji jate
Baba Ab Hamse tamache.....
9• kamsini me jo sitam hampe na itna hota
Milti gar puri ghiza pani jo pura milta
Ham andero me na zindan ke yu mar jate
Baba Ab Hamse tamache.....
10• uske ammu jo chale aate madad ko asghar
Phir azadar bhala khati tamache kyu kar
Phir sakina ke labo par na ye naale aate
Baba Ab Hamse tamache nahi khaye jaate..