Teri Zehra Ko Tere Baad Sataya Baba

- Ansar Jafar (2021)


Teri Zehra (s.a) ko tere baad sataya baba

Tera farmaan zamane ne bhulaya baba, Teri Zehra (s.a) ko tere baad sataya baba.

1. Boogz har ek ne seene me chupa rakha tha, Aap ke jate hi Zahra(a.s) pe hui Joor o jafa,
Mera ghar aap ki ummat ne jalaya baba.

2. Shehr walo me koi to meri Nusrat karta, Aapki ladli beti ki Himayat karta, Koi Hamdard mera hayee na aaya baba.

3. Tuti pasli ki aziyat na pata ho unko, Mere waali ko mere haal se takleef na ho, Maine ye dard ko Haider se chupaya baba.

4. Shehr ke loog pareshaa they mere rone se, Door aabadi se jaati hun mai girya karne, Aaysa pehra mere rone pe lagaya baba.

5. Yaad bas aap ki baba mujhe tadpati hai, Dhoop har gham ki teri beti ko jhulsaati hai, Sar se jis din se utha aap ka saya baba.

6. Haq mera cheen liya aap ki jaageer na di, Tere as-haab ne jhutlai gawahi mere, Mujhko darbaar bula kar hai rulaya baba.

7. Aaysa badla hai tere baad zamana humse, Aayse khamoosh hue hai ye Madinay wale, shehr ye aap ka lagta hai paraya baba.

8. Aye Raza Qabr-E-Mohammed pe tha larza taari, jis ghadi Fatima Zehra(s.a) ye buka karti thi, Mera Mohsin na gaya mujhse bachaya baba.