Baraste Patharo Main Zakhmi
- Fazal Abbas (2021)
Baraste patharo me zakhmi jab hui Zainab
Toh roo k ghazi ka sar dekhti rahi Zainab
Kahi pe durro se darbaar me tha maara gaya
Kahi pe sung se bazaar me tha maara gaya
Wohi sitam hue jis jaa khadi rahi Zainab
Sitam ki koofiyo ne hai ayse had kardi
Phirai kufe me jaise thi laash muslim ki
Phirai waise hi rassi se thi bandhi Zainab
Sitam kuch itne laeeno ki fauj karti thi
Laraste kadmo se bazaar me wooh chalti thi
Yun taziyano se zakhmi thi ho chuki Zainab
Yeh shimr logo se has has ke hae kehta tha
Bahen hai baaghi ki yeh jisko humne maar dia
Najaane kis tarah yeh sab thi sun rahi Zainab
Ali ke badle joh shami yeh humse lete hai
Pukari fizza yeh pathar baraste kehte hai
Ali se kitni hai in sabko dushmani Zainab
Jab aai bhai ke maqtal me kaidi hoke bahen
Kata Hussain ka tukdo me iss tarah tha badan
Joh dekhi laash toh naake se gir padi Zainab
Churi gale pe bhi jiske naa dekh pai thi
Wooh dekhti rahi roo rook e gham satai thi
Labo pe bhai ke chalte hue churi Zainab
Waha asad o fazal aasoon ka tha nauha
Mila rehai pe azbaab jab luta saara
Toh der tak rahi chadar ko dekhti Zainab