Tha Yeh Sakina Ke Lab Pe Nauha
- Ansar Jafar (2021)
Tha ye sakina ke lab pe nauha
Yateem kahte hain log mujhko
Chaley bhi aao kahaan ho baba…. 2
Yateem Kehte hain log Mujko
Hain honth sookhe nahi hai pani
Uthaun kab tak ja'n feshani
Hua hai dushwaar mera jeena
Yateem kehtey .....
Mila hai jab se judai ka gham
Hamari pushtey hazee pa paiham
Barasta rehta hai taziyana
Yateem kehtey .....
Yehi hai paigham deeney haq ka
Karey yateemo se pyaar duniya
Magar main sehti hoon Zulm baba
Yateem kehtey .....
Lage hain kuch is qadar tamache
Hain dono rukhsaar mere neele
Mila na mujhko kahin dilasa
Yateem kehtey .....
Kabhi jo saye men baithu jake
Laei'n lagate hain tazaiyane
Batao dastoor hai ye kaisa
Yateem kehtey .....
Sitam ki ye intiha huyi hai
Merey galey mein rasan bandhi hai
Yateem hona bhi Jurm hai kya
Yateem kehtey .....
Abhi bhi zakhme jigar hara hai
Meri yateemi bhi ek saza hai
Hai kon ghurbat men ab sahara
Yateem kehtey .....
Layee ne chiney Hain goshwarey
Madad ko bacchi Kisey pukaarey
Chacha bhi sotey Hain suye dariya
Yateem kehtey .....
Adu ne mujhko Dikha ke aksar
Giraya pani Zamee ke upar
Mai tashna lab hi Rahi ai baba
Yateem kehtey .....
Hilal naize pe farqe sarwar
Ghamo se roya tarap tarap kar
Ye roke kahti thi jab sakina
Yateem kehtey .....
Tha ye sakina ke lab pe nauha
Yateem kahte hain log mujhko