Shukriya Zainab

- Sayed Ansar Kafar (2022)


Nok e neza se sar e Shabbir deta tha sada

Shukria Zainab, Shukria Zainab
Tu ne apne bhai ke Maqsad ko poora kar diya
Shukria Zainab, Shukria Zainab

Tere dam se aaj baaqi deen ke qanoon hain

Mustafa Mashkoor hain, kul Ambiya Mamnoon hain
Tere hi isaar ne bakhshi Shariyat ko baqa
Shukria Zainab, Shukria Zainab

Karwan e deen e Haq kehlaya tera karwaa

Tu hai quraa'n ki muhafiz, tu shariyat ki hai jaa'n
Sar pe kaabey ke nazar aati hai teri hi Rida
Shukria Zainab, Shukria Zainab

Saani e zahra hai tu, tera nahi koi badal

Karbala se shaam tak tera hai maidan e amal
Hausle me tu Ali hai, azm me hai Fatma
Shukria Zainab, Shukria Zainab

Hausle deewar tere, aur zubaa'n hai Zulfiqar

Tere khutbo ne kiya, damaaan e baiyat, taar taar
Tere ek ek lafz par qurbaan rooh e Murtaza
Shukria Zainab, Shukria Zainab

Yun luta gulshan ke zakhmi daali daali ho gai
Mar gaye Aaon o Mohammed, god khali ho gai
Is qayamat par bhi tu ne shukr ka sajda kiya
Shukria Zainab, Shukria Zainab

Bhai ke maqsad ki khatir seh gai ranj o mehan

Pusht par durro ki barish, aur shano me rasan
Khaar raho ke pukare, zarra zarra keh utha
Shukria Zainab, Shukria Zainab

Sarbr ki sarhaq me rakha apni har fariyad ko

Mashwarey deti rahi tu Sayyed e Sajjad ko
Kaun samjhe ga faseel ab kya hai tera martaba
Shukria Zainab, Shukria Zainab