Boli Maa Aun Aur Muhammad Se

- Ansar Jafar (2022)


Boli ma Aun aur Muhammad se, Jaan Shabbir par Lutana hai
Karna Sharminda na ay shahzado, Amma Zehra ko muh Dikhana hai

Saare Ashaab mere bhai ke, be khata dasht me hain maare gae
Koi bhi abb nahi hai khaimo me, apni jaan bhai per fida karde,
Ayse mushkil ghadi me ay beto, sheh ki tanhai ko mitana hai.

Ummati hoke bhi paraye hain, aale Ahmed se ladne aae hain,
Badr o siffin ka hai gham taaza, badla haider se lene aae hain,
Jao jab unke tum muqabil per, naara-e haidery lagana hai.

Tumse nazre nahi milaugi, shikwe nani ko hai sunaogi,
Zinda wapas joh aae khaimo me, seene tumko nahi lagaugi,
Chahte hoke tumse raazi rahu, sheh ki khatir ghale katana hai.

Barchi seene pe khaega Akbar, hoga tukdo me Qasim dilbar,
Jinko parwaan khud chadaya hai, unke laashe uthaege sarwar,
Bhai maqtal me tumko jab dekhe, apne har zakhm ko chhupana hai.

Jaanti ho ke tum bhi ho pyase, ladlo ha magar yeh yaad rahe,
Pyase bache hai abb bhi khaimo me, boond paani na halq se utray,
Paani ko dekh kar khayal rahe, pehle besheer ko pilana hai.

Lashe baccho ki lae jab sarwar, har koi peetta tha sina o sar,
Inna lilla h padhke boli maa, tumpai hargiz na roegi muztar,
Mujhko apne ghareeb bhai par, khoone dil aanko se bahana hai.

Qaid se chhoot kar joh binte Ali, karbala hoke apne ghar pahochi,
Nanne nanne musalle jab dekhe, karke rukh Karbala ka kehne lagi,
De mujhe izn mere majae, aaj beto ka gham manana hai.

Joh bhi nauha jawad likhta hai, yeh tere ladlo ka sadka hai,
unke taboot jab bhi uthtay hain, ashk behte hain dil tadapta hai,
Joh na roo paayi apne pyaro ko, uske baccho ka gham manana hai.